And [yet], among the people are those who take other than Allah as equals [to Him]. They love them as they [should] love Allah . But those who believe are stronger in love for Allah . And if only they who have wronged would consider [that] when they see the punishment, [they will be certain] that all power belongs to Allah and that Allah is severe in punishment.
Baaz log aisay bhi hain jo Allah kay shareek auron ko thehra ker uss say aisi mohabbat rakhtay hain jaisi mohabbat Allah say honi chahaiye aur eman walay Allah ki mohabbat mein boht sakht hotay hain kaash kay mushrik log jantay jab kay Allah kay azab ko dekh ker ( jaan len gay ) kay tamam taqat Allah hi ko hai aur Allah Taalaa sakht azab denay wala hai ( to hergiz shirk na kertay ) .
और कुछ लोग ऐसे हैं जो अल्लाह के सिवा दूसरों को उसका बराबर ठहराते हैं, उनसे ऐसी मुहब्बत रखते हैं जैसी मुहब्बत अल्लाह से रखना चाहिए, और जो ईमान वाले हैं वे सब से ज़्यादा अल्लाह से मुहब्बत रखने वाले हैं, और अगर ये ज़ालिम उस वक़्त को देख लें जबकि वे अज़ाब को देखेंगे कि ज़ोर सारा का सारा अल्लाह का है, और अल्लाह बड़ा सख़्त अज़ाब देने वाला है।
And complete the Hajj and 'umrah for Allah . But if you are prevented, then [offer] what can be obtained with ease of sacrificial animals. And do not shave your heads until the sacrificial animal has reached its place of slaughter. And whoever among you is ill or has an ailment of the head [making shaving necessary must offer] a ransom of fasting [three days] or charity or sacrifice. And when you are secure, then whoever performs 'umrah [during the Hajj months] followed by Hajj [offers] what can be obtained with ease of sacrificial animals. And whoever cannot find [or afford such an animal] - then a fast of three days during Hajj and of seven when you have returned [home]. Those are ten complete [days]. This is for those whose family is not in the area of al-Masjid al-Haram. And fear Allah and know that Allah is severe in penalty.
Hajj aur umray ko Allah Taalaa kay liye poora kero haan agar tum rok liye jao to jo qurbani mayyassar ho ussay ker daalo aur apney sir na mundwao jabtak kay qurbani qurban gaah tak na phonch jaye albatta tum mein say jo beemar ho ya uss kay sir mein koi takleef ho ( jiss ki waja say sir munda ley ) to uss per diya hai khuwa rozay rakh ley khuwa sadqa dey dey khuwa qurabi keray pus tum amann ki halat mein hojao to jo shaks umray say ley ker hajj tak tamatto keray pus ussay jo qurabni mayyassar ho ker dalay jissay taqat hi na ho to woh teen rozay to hajj kay dinon mein rakh ley aur saat wapsi mein yeh pooray das hogaye. Yeh hukum unn kay liye hai jo masjid-e-haram kay rehney walay na hon logo! Allah say dartay raho aur jaan lo kay Allah Taalaa sakht azab wala hai.
और पूरा करो हज और उमरा अल्लाह के लिए, फिर अगर तुम घिर जाओ तो जो क़ुरबानी का जानवर मयस्सर हो वह पेश कर दो, और तुम अपने सरों को न मुंडाओ जब तक क़ुरबानी अपने ठिकाने पर न पहुँच जाए, तुम में से जो बीमार हो या उसके सर में कोई तकलीफ़ हो तो वह फ़िदया दे रोज़े या सदक़े या क़ुरबानी की शक्ल में, फिर जब अमन की हालत हो, और कोई हज तक उमरे का फ़ायदा हासिल करना चाहे तो वह क़ुरबानी पेश करे जो उसको मयस्सर आए, फिर जिसको मयस्सर न आए तो वह हज के अय्याम में तीन दिन रोज़े रखे और सात दिन के रोज़े जबकि तुम घरों को लौटो, ये पूरे दस हुए, यह उस शख़्स के लिए है जिसका ख़ानदान मस्जिदे-हराम के पास आबाद न हो, और अल्लाह से डरो और जान लो कि अल्लाह सख़्त अज़ाब देने वाला है।
Ask the Children of Israel how many a sign of evidence We have given them. And whoever exchanges the favor of Allah [for disbelief] after it has come to him - then indeed, Allah is severe in penalty.
Bani israeel say poocho to kay hum ney unhen kiss qadar roshan nishaniyan ata farameen aur jo shaks Allah Taalaa ki nematon ko apney pass phonch janey kay baad badal dalay ( woh jaan ley ) kay Allah Taalaa sakht azabon wala hai.
बनी-इस्राईल से पूछो, हमने उनको कितनी खुली निशानियाँ दीं, और जो शख़्स अल्लाह की नेमत को बदल डाले जबकि वह उसके पास आ चुकी हो तो अल्लाह यक़ीनन सख़्त सज़ा देने वाला है।
[Theirs is] like the custom of the people of Pharaoh and those before them. They denied Our signs, so Allah seized them for their sins. And Allah is severe in penalty.
Jaisa aal-e-firaon ka haal hua aur unn ka jo inn say pehlay thay unhon ney humari aayaton ko jhutlaya phir Allah Taalaa ney bhi unhen unn kay gunahon per pakar liya aur Allah Taalaa sakht azab wala hai.
उनका अंजाम वैसा ही होगा जैसा फ़िरऔन वालों का और उनसे पहले वालों का हुआ, उन्होंने हमारी निशानियों को झुठलाया, उस पर अल्लाह ने उनके गुनाहों के बाइस उनको पकड़ लिया, और अल्लाह सख़्त सज़ा देने वाला है।
O you who have believed, do not violate the rites of Allah or [the sanctity of] the sacred month or [neglect the marking of] the sacrificial animals and garlanding [them] or [violate the safety of] those coming to the Sacred House seeking bounty from their Lord and [His] approval. But when you come out of ihram, then [you may] hunt. And do not let the hatred of a people for having obstructed you from al-Masjid al-Haram lead you to transgress. And cooperate in righteousness and piety, but do not cooperate in sin and aggression. And fear Allah ; indeed, Allah is severe in penalty.
Aey eman walo! Allah Taalaa kay shaaeer ki bey hurmati na kero na adab walay maheenon ki na haram mein qurban honey walay aur pattay pehnaye gaye janwaron ki jo kaaba ko ja rahey hon aur na unn logon ki jo bait-ullah kay qasad say apney rab taalaa kay fazal aur uss ki raza joee ki niyat say ja rahey hon haan jab tum ehraam utaar dalo to shikar khel saktay ho jin logon ney tumhen masjid-e-haram say roka tha unn ki dushmani tumhen iss baat per aamaadah na keray kay tum hadd say guzar jao neki aur perhezgari mein aik doosray ki imdad kertay raho aur gunah aur zulm-o-ziyadti mein madad na kero aur Allah Taalaa say dartay raho be-shak Allah Taalaa sakht saza denay wala hai.
ऐ ईमान वालो! बे-हुरमती न करो अल्लाह की निशानियों की और न हुरमत वाले महीनों की और न हरम में क़ुर्बानी वाले जानवरों की और न पट्टे बंधे हुए नियाज़ के जानवरों की और न हुरमत वाले घर की तरफ़ आने वालों की जो अपने रब का फ़ज़्ल और उसकी ख़ुशनूदी ढूँढने निकले हैं, और जब तुम एहराम की हालत से बाहर आ जाओ तो शिकार करो, और किसी क़ौम की दुश्मनी कि उसने तुमको मस्जिदे-हराम से रोका है तुमको इस पर न उभारे कि तुम ज़्यादती करने लगो, तुम नेकी और तक़वे में एक-दूसरे की मदद करो और गुनाह और ज़्यादती में एक-दूसरे की मदद न करो और अल्लाह से डरो, बेशक अल्लाह सख़्त अज़ाब देने वाला है।
Know that Allah is severe in penalty and that Allah is Forgiving and Merciful.
Tum yaqeen jano kay Allah Taalaa saza bhi sakht denay wala hai aur Allah Taalaa bari maghfirat aur bari rehmat wala bhi hai.
जान लो कि अल्लाह का अज़ाब सख़्त है और बेशक अल्लाह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
That is because they opposed Allah and His Messenger. And whoever opposes Allah and His Messenger - indeed, Allah is severe in penalty.
Yeh iss baat ki saza hai kay enhon ney Allah ki aur uss kay rasool ki mukhlifat ki. Aur jo Allah ki aur uss kay rasool ki mukhlifat kerta hai so be-shak Allah Taalaa sakht saza denay wala hai.
यह इस वजह से कि उन्होंने अल्लाह और उसके रसूल की मुख़ालिफ़त की और जो कोई अल्लाह और उसके रसूल की मुख़ालिफ़त करता है तो अल्लाह सज़ा देने में सख़्त है।
And fear a trial which will not strike those who have wronged among you exclusively, and know that Allah is severe in penalty.
Aur tum aisay wabaal say bacho! Kay jo khaas ker sirf unhi logon per waqiya na hoga jo tum say inn gunhaon kay muratakib huye hain aur yeh jaan rakho kay Allah sakht saza denay wala hai.
और डरो उस फ़ित्ने से जो ख़ास उन्हीं लोगों पर वाक़े न होगा जिन्होंने तुम में से ज़ुल्म किया, और जान लो कि अल्लाह सख़्त सज़ा देने वाला है।
And [remember] when Satan made their deeds pleasing to them and said, "No one can overcome you today from among the people, and indeed, I am your protector." But when the two armies sighted each other, he turned on his heels and said, "Indeed, I am disassociated from you. Indeed, I see what you do not see; indeed I fear Allah . And Allah is severe in penalty."
Jabkay unn kay aemaal ko shetan zeenat daar dikha raha tha aur keh raha tha kay logon mein say koi bhi aaj tum per ghalib nahi aa sakta mein khud bhi tumhara himayati hun lekin jab donon jamaten namoo daar huen to apni aeriyon kay ball peechay hatt gaya aur kehnay laga mein tum say bari hun. Mein woh dekh raha hun jo tum nahi dekh rahey. Mein Allah say darta hun aur Allah Taalaa sakhta azab wala hai.
और जब शैतान ने उन्हें उनके आमाल ख़ुशनुमा बनाकर दिखाए और कहा कि आज लोगों में से कोई तुम पर ग़ालिब आने वाला नहीं और मैं तुम्हारे साथ हूँ, मगर जब दोनों गिरोह आमने-सामने हुए तो वह उलटे पाँव भागा और कहा कि मैं तुम से बरी हूँ, मैं वह सब देख रहा हूँ जो तुम लोग नहीं देखते, मैं अल्लाह से डरता हूँ, और अल्लाह सख़्त अज़ाब देने वाला है।
[Theirs is] like the custom of the people of Pharaoh and of those before them. They disbelieved in the signs of Allah , so Allah seized them for their sins. Indeed, Allah is Powerful and severe in penalty.
Misil friaoniyon kay haal kay aur unn say aglon kay, kay unhon ney Allah ki aayaton kay sath kufur kiya pus Allah ney unn kay gunahon kay baees unehn pakar liya. Allah Taalaa yaqeenan qooat wala aur sakht azab wala hai.
फ़िरऔन के लोगों की तरह और जो उनसे पहले थे, कि उन्होंने अल्लाह की निशानियों का इनकार किया पस अल्लाह ने उनके गुनाहों पर उनको पकड़ लिया, बेशक अल्लाह क़ुव्वत वाला, सख़्त सज़ा देने वाला है।
And the thunder exalts [ Allah ] with praise of Him - and the angels [as well] from fear of Him - and He sends thunderbolts and strikes therewith whom He wills while they dispute about Allah ; and He is severe in assault.
Garj iss ki tasbeeh-o-tareef kerti hai aur farishtay bhi iss kay khof say. Wohi aasman say bijliyan girata hai aur jiss per chahata hai uss per dalta hai kuffaar Allah ki babat larr jhagar rahey hain aur Allah sakht qooat wala hai.
और बिजली की गरज उसकी हम्द के साथ उसकी पाकी बयान करती है और फ़रिश्ते भी उसके ख़ौफ़ से, और वह बिजलियाँ भेजता है फिर जिस पर चाहे उन्हें गिरा देता है और वे लोग अल्लाह के बारे में झगड़ते हैं; हालाँकि वह ज़बरदस्त है क़ुव्वत वाला है।
That was because their messengers were coming to them with clear proofs, but they disbelieved, so Allah seized them. Indeed, He is Powerful and severe in punishment.
Yeh iss waja say kay unn kay pass unn kay payghumber mojzzay ley ker aatay thay to woh inkar ker detay thay pus Allah unhen pakar leta tha. Yaqeenan woh taqatwar aur sakht azab wala hai.
वह (बुरा परिणाम) तो इसलिए सामने आया कि उन के पास उन के रसूल स्पष्ट प्रमाण लेकर आते रहे, किन्तु उन्होंने इनकार किया। अन्ततः अल्लाह ने उन्हें पकड़ लिया। निश्चय ही वह बड़ी शक्ति वाला, सज़ा देने में अत्याधिक कठोर है
Taught to him by one intense in strength -
Issay poori taqat walay farishtey ney sikhaya hai.
उसे बड़ी शक्तियों वाले ने सिखाया,
That is because they opposed Allah and His Messenger. And whoever opposes Allah - then indeed, Allah is severe in penalty.
Yeh iss liye kay enhon ney Allah Taalaa ki aur uss kay rasool ki mukhalifat ki aur jo bhi Allah ki mukhalifat keray ga to Allah Taalaa bhi sakht azab kerney wala hai.
यह इसलिए कि उन्होंने अल्लाह और उस के रसूल का मुक़ाबला करने की कोशिश की। और जो कोई अल्लाह का मुक़ाबला करता है तो निश्चय ही अल्लाह की यातना बहुत कठोर है
And what Allah restored to His Messenger from the people of the towns - it is for Allah and for the Messenger and for [his] near relatives and orphans and the [stranded] traveler - so that it will not be a perpetual distribution among the rich from among you. And whatever the Messenger has given you - take; and what he has forbidden you - refrain from. And fear Allah ; indeed, Allah is severe in penalty.
Bastiyon walon ka jo ( maal ) Allah Taalaa tumharay laray bhiray baghair apney rasool kay haath lagaye woh Allah ka hai aur rasool ka aur qarabat walon ka aur yateemon miskeenon ka aur musafiron ka hai takay tumharay dolat mandon kay haath mein hi yeh maal gardish kerta na reh jaye aur tumhen jo kuch rasool dey ley lo aur jiss say rokay ruk jao aur Allah Taalaa say dartay raha kero yaqeenan Allah Taalaa sakht azab wala hai.
जो कुछ अल्लाह ने अपने रसूल की ओर बस्तियों वालों से लेकर पलटाया वह अल्लाह और रसूल और (मुहताज) नातेदार और अनाथों और मुहताजों और मुसाफ़िर के लिए है, ताकि वह (माल) तुम्हारे मालदारों ही के बीच चक्कर न लगाता रहे - रसूल जो कुछ तुम्हें दे उसे ले लो और जिस चीज़ से तुम्हें रोक दे उस से रुक जाओ, और अल्लाह का डर रखो। निश्चय ही अल्लाह की यातना बहुत कठोर है। -