And among those around you of the bedouins are hypocrites, and [also] from the people of Madinah. They have become accustomed to hypocrisy. You, [O Muhammad], do not know them, [but] We know them. We will punish them twice [in this world]; then they will be returned to a great punishment.
Aur kuch tumharay gird-o-paish walon mein aur kuch madinay walon mein aisay munafiq hain kay nifaq per aray huye hain aap inn ko nahi jantay inn ko hum jantay hain hum inn ko dohri saza den gay phir woh baray bhari azab ki taraf bhejay jayen gay.
और तुम्हारे आस-पास जो देहाती हैं उनमें मुनाफ़िक़ हैं, और मदीना वालों में भी (मुनाफ़िक़ हैं), वे निफ़ाक़ पर जम गए हैं, तुम उनको नहीं जानते लेकिन हम उनको जानते हैं, हम उनको दोहरा अज़ाब देंगे फिर वे एक बड़े अज़ाब की तरफ़ भेजे जाएंगे।
And [there are] others who have acknowledged their sins. They had mixed a righteous deed with another that was bad. Perhaps Allah will turn to them in forgiveness. Indeed, Allah is Forgiving and Merciful.
Aur kuch aur log hain jo apni khata kay iqrari hain jinhon ney milay julay amal kiye thay kuch bhalay aur kuch buray Allah say umeed hai kay unn ki toba qabool farmaye. Bila shuba Allah Taalaa bari maghfirat wala bari rehmat wala hai.
कुछ और लोग हैं जिन्होंने अपने क़सूरों का एतराफ़ कर लिया है, उन्होंने मिले-जुले अमल किए थे, कुछ भले और कुछ बुरे, उम्मीद है कि अल्लाह उन पर तवज्जोह करे, बेशक अल्लाह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
Take, [O, Muhammad], from their wealth a charity by which you purify them and cause them increase, and invoke [ Allah 's blessings] upon them. Indeed, your invocations are reassurance for them. And Allah is Hearing and Knowing.
Aap inn kay maalon mein sadqa ley lijiye jiss kay zariye say aap inn ko pak saaf ker den aur inn kay liye dua kijiye bila shuba aap ki dua inn kay liye mojib-e-itminaan hai aur Allah Taalaa khoob sunta hai khoob janta hai.
आप उनके मालों में से सदक़ा लीजिए जिससे आप उनको पाक करोगे और उसके ज़रिए उनका तज़किया करोगे, और आप उनके लिए दुआ कीजिए बेशक आपकी दुआ उनके लिए तस्कीन का सबब होगी, और अल्लाह सब कुछ सुनने वाला, जानने वाला है।
Do they not know that it is Allah who accepts repentance from His servants and receives charities and that it is Allah who is the Accepting of repentance, the Merciful?
Kiya inn ko yeh khabar nahi kay Allah hi apney bandon ki toba qabool kerta hai aur wohi sadqaat ko qabool farmata hai aur yeh kay Allah hi toba qabool kerney mein aur rehmat kerney mein kaamil hai.
क्या वे नहीं जानते कि अल्लाह ही अपने बंदों की तौबा क़बूल करता है और वही सदक़ात को क़बूल करता है, और अल्लाह ही तौबा क़बूल करने वाला, मेहरबान है।
And say, "Do [as you will], for Allah will see your deeds, and [so, will] His Messenger and the believers. And you will be returned to the Knower of the unseen and the witnessed, and He will inform you of what you used to do."
Keh dijiye kay tum amal kiye jao tumharay amal Allah khud dekh ley ga aur uss ka rasool aur eman walay ( bhi dekh len gay ) aur zaroor tum ko aisay kay pass jana hai jo tamam chupi aur khuli cheezon ka jannay wala hai. So woh tum ko tumhara sab kiya hua batla dey ga.
कह दीजिए कि अमल करो, अल्लाह और उसके रसूल और अहले-ईमान तुम्हारे अमल को देखेंगे, और तुम जल्द उसके पास लौटाए जाओगे जो तमाम खुले और छुपे को जानता है पस वह तुमको बता देगा जो कुछ तुम कर रहे थे।
And [there are] others deferred until the command of Allah - whether He will punish them or whether He will forgive them. And Allah is Knowing and Wise.
Aur kuch aur log hain jin ka moamla Allah kay hukum aaney tak mulatawee hai unn ko saza dey ga ya unn ki toba qabool ker ley ga aur Allah khoob jannay wala hai bara hikmata wala hai.
कुछ दूसरे लोग हैं जिनका मामला अभी अल्लाह का हुक्म आने तक ठहरा हुआ है, या वे उनको सज़ा देगा या उनकी तौबा क़बूल करेगा, और अल्लाह जानने वाला, हिकमत वाला है।
And [there are] those [hypocrites] who took for themselves a mosque for causing harm and disbelief and division among the believers and as a station for whoever had warred against Allah and His Messenger before. And they will surely swear, "We intended only the best." And Allah testifies that indeed they are liars.
Aur baaz aisay hain jinhon ney inn aghraaz kay liye masjid banaee hai kay zarrar phonchayen aur kufur ki baaten keren aur eman daron mein tafreeq dalen aur uss shaks kay qayam ka saman keren jo iss say pehlay say Allah aur rasool ka mukhalif hai aur qasmen kha jayen gay kay ba-juz bhalaee kay aur humari kuch neeyat nahi aur Allah gawah hai kay woh bilkul jhootay hain.
और कुछ लोग वे हैं जिन्होंने एक मस्जिद इस काम के लिए बनाई है कि (मुसलमानों को) नुक़सान पहुँचाएं और काफ़िराना बातें करें, मोमिनों में फूट डालें और उस शख़्स को एक अड्डा फ़राहम करें जिसकी पहले से अल्लाह और उसके रसूल के साथ जंग है, और ये क़समें ज़रूर खा लेंगे कि भलाई के सिवा हमारी कोई और नीयत नहीं है, लेकिन अल्लाह इस बात की गवाही देता है कि वे पक्के झूठे हैं।
Do not stand [for prayer] within it - ever. A mosque founded on righteousness from the first day is more worthy for you to stand in. Within it are men who love to purify themselves; and Allah loves those who purify themselves.
Aap iss mein kabhi kharay na hon. Albatta jiss masjid ki bunyaad awwal din say taqwa per rakhi gaee hai woh iss laeeq hai kay aap iss mein kharay hon iss mein aisay aadmi hain kay woh khoob pak honey ko pasand kertay hain aur Allah Taalaa khoob pak honey walon ko pasand kerta hai.
आप उस इमारत में कभी खड़े न होना, अलबत्ता जिस मस्जिद की बुनियाद पहले दिन से तक़वे पर पड़ी है वह इस लायक़ है कि आप उसमें खड़े हों, उसमें ऐसे लोग हैं जो ख़ूब पाक रहने को पसंद करते हैं और अल्लाह ख़ूब पाक रहने वालों को पसंद करता है।
Then is one who laid the foundation of his building on righteousness [with fear] from Allah and [seeking] His approval better or one who laid the foundation of his building on the edge of a bank about to collapse, so it collapsed with him into the fire of Hell? And Allah does not guide the wrongdoing people.
Phir aaya aisa shaks behtar hai jiss ney apni emaarat ki bunyaad Allah say darney per aur Allah ki khushnoodi per rakhi ho ya woh shaks kay jiss ney apni emaarat ki bunyaad kissi ghaati kay kinaray per jo kay girney hi ko ho rakhi ho phir woh iss ko ley ker aatish-e-dozakh mein girr paray aur Allah Taalaa aisay zalimon ko samajh hi nahi deta.
क्या वह शख़्स बेहतर है जिसने अपनी इमारत की बुनियाद अल्लाह के डर और अल्लाह की ख़ुशनूदी पर रखी या वह शख़्स बेहतर है जिसने अपनी इमारत की बुनियाद एक खाई के किनारे पर रखी जो गिरने को है फिर वह इमारत उसको लेकर जहन्नम की आग में गिर पड़ी, और अल्लाह ज़ालिम लोगों को राह नहीं दिखाता।
Their building which they built will not cease to be a [cause of] skepticism in their hearts until their hearts are stopped. And Allah is Knowing and Wise.
Inn ki yeh emaarat jo enhon ney banaee hai hamesha inn kay dilon mein shak ki bunyaad per ( kaanta bann ker ) khutakti rahey gi haan magar inn kay dil hi agar paash paash hojayen to khair aur Allah Taalaa bara ilm wala bari hikmat wala hai.
और यह इमारत जो उन्होंने बनाई हमेशा उनके दिलों में शक की बुनियाद बनी रहेगी सिवाए इसके कि उनके दिल ही टुकड़े हो जाएं, और अल्लाह जानने वाला, हिकमत वाला है।
Indeed, Allah has purchased from the believers their lives and their properties [in exchange] for that they will have Paradise. They fight in the cause of Allah , so they kill and are killed. [It is] a true promise [binding] upon Him in the Torah and the Gospel and the Qur'an. And who is truer to his covenant than Allah ? So rejoice in your transaction which you have contracted. And it is that which is the great attainment.
Bila shuba Allah Taalaa ney musalmanon say unn ki janon ko aur unn kay maalon ko iss baat kay ewaz mein khareed liya hai kay unn ko jannat milay gi. Woh log Allah ki raah mein lartay hain jiss mein qatal kertay hain aur qatal kiye jatay hain iss per sacha wada kiya gaya hai toraat mein aur injeel mein aur quran mein aur Allah say ziyada apney ehad ko kaun poora kerney wala hai to tum log apni iss bey per jiss ka tum ney moamla thehraya hai khsuhi manao aur yeh bari kaamyabi hai.
बेशक अल्लाह ने मोमिनों से उनकी जान और उनके माल को ख़रीद लिया है जन्नत के बदले, वे अल्लाह की राह में लड़ते हैं फिर मारते हैं और मारे जाते हैं, यह अल्लाह के ज़िम्मे एक सच्चा वादा है तौरात में और इंजील में और क़ुरआन में, और अल्लाह से बढ़कर अपने वादे को पूरा करने वाला कौन है, पस तुम ख़ुशियाँ मनाओ उस मामले पर जो तुमने अल्लाह से किया है, और यही सबसे बड़ी कामयाबी है।
[Such believers are] the repentant, the worshippers, the praisers [of Allah ], the travelers [for His cause], those who bow and prostrate [in prayer], those who enjoin what is right and forbid what is wrong, and those who observe the limits [set by] Allah . And give good tidings to the believers.
Woh aisay hain jo tauba kerney walay ibadat kerney walay hamd kerney walay roza rakhney walay ( yaa raah-e-haq mein safar kerney walay ) rukoo aur sajda kerney walay nek baaton ki taleem kerney walay aur buri baaton say baaz rakhney walay aur Allah ki haddon ka khayal rakhney walay hain aur aisay momineen ko aap khushkhabri suna dijiye.
वे तौबा करने वाले हैं, इबादत करने वाले हैं, हम्द करने वाले हैं, अल्लाह की राह में फिरने वाले हैं, रुकूअ करने वाले हैं, सज्दा करने वाले हैं, भलाई का हुक्म करने वाले हैं, बुराई से रोकने वाले हैं, अल्लाह की हदों का ख़्याल रखने वाले हैं, और मोमिनों को ख़ुश-ख़बरी दे दीजिए।
It is not for the Prophet and those who have believed to ask forgiveness for the polytheists, even if they were relatives, after it has become clear to them that they are companions of Hellfire.
Payghumbar ko aur doosray musalmanon ko jaaez nahi kay mushrikeen kay liye maghfirat ki dua maangen agar cheh woh rishtay daar hi hon iss amar kay zahir ho janey kay baad kay yeh log dozakhi hain.
नबी के लिए और उन लोगों के लिए जो ईमान लाए हैं मुनासिब नहीं कि मुशरिकों के लिए मग़फ़िरत की दुआ करें, चाहे वे उनके रिश्तेदार ही हों जबकि उन पर खुल चुका कि ये जहन्नम में जाने वाले लोग हैं।
And the request of forgiveness of Abraham for his father was only because of a promise he had made to him. But when it became apparent to Abraham that his father was an enemy to Allah , he disassociated himself from him. Indeed was Abraham compassionate and patient.
Aur ibrahim ( alh-e-salam ) ka apney baap kay liye dua-e-maghfirat maangna woh sirf wada kay sabab say tha jo unhon ney uss say wada ker liya tha phir jab unn per yeh baat zahir hogaee kay woh Allah ka dushman hai to woh iss say mehaz mehaz bey talluq hogaye waqaee ibrahim ( alh-e-salam ) baray naram dil aur burd baar thay.
और इब्राहीम (अलै॰) का अपने वालिद के लिए मग़फ़िरत की दुआ मांगना सिर्फ़ उस वादे की वजह से था जो उन्होंने उससे कर लिया था, फिर जब उन पर खुल गया कि वह अल्लाह का दुश्मन है तो वे उससे बे-तअल्लुक़ हो गए, बेशक इब्राहीम बड़े नरम-दिल, बुर्दबार थे।
And Allah would not let a people stray after He has guided them until He makes clear to them what they should avoid. Indeed, Allah is Knowing of all things.
Aur Allah aisa nahi kerta kay kissi qom ko hidayat ker kay baad mein gumrah kerdey jab tak kay unn cheezon ko saaf saaf na batla dey jin say woh bachen be-shak Allah Taalaa her cheez ko khoob janta hai.
और अल्लाह किसी क़ौम को उसको हिदायत देने के बाद गुमराह नहीं करता जब तक उनको साफ़-साफ़ वे चीज़ें न बता दे जिनसे उन्हें बचना है, बेशक अल्लाह हर चीज़ का इल्म रखता है।
Indeed, to Allah belongs the dominion of the heavens and the earth; He gives life and causes death. And you have not besides Allah any protector or any helper.
Bila shuba Allah hi ki saltanat hai aasmanon aur zamin mein. Wohi jilata aur maarta hai aur tumhara Allah kay siwa na koi yaar hai aur na koi madadgar hai.
बेशक अल्लाह ही की सल्तनत है आसमानों में और ज़मीन में, वही ज़िंदा करता है और वही मारता है, और अल्लाह के सिवा न तुम्हारा कोई दोस्त है और न कोई मददगार।
Allah has already forgiven the Prophet and the Muhajireen and the Ansar who followed him in the hour of difficulty after the hearts of a party of them had almost inclined [to doubt], and then He forgave them. Indeed, He was to them Kind and Merciful.
Allah Taalaa ney payghumber kay haal per tawajja farmaee aur mohajreen aur ansaar kay haal per bhi jinhon ney aisi tangi kay waqt payghumbar ka sath diya iss kay baad kay inn mein say aik giroh kay dilon mein kuch tazalzul ho chala tha. Phir Allah ney unn kay haal per tawajja farmaee. Bila shuba Allah Taalaa inn sab per boht hi shafiq meharban hai.
बेशक अल्लाह ने नबी पर और मुहाजिरीन व अंसार पर तवज्जोह फ़रमाई जिन्होंने तंगी के वक़्त में नबी का साथ दिया, बाद इसके कि उनमें से कुछ लोगों के दिल कजी की तरफ़ माइल हो चुके थे, फिर अल्लाह ने उन पर तवज्जोह फ़रमाई, बेशक अल्लाह उन पर मेहरबान है, रहम करने वाला है।
And [He also forgave] the three who were left behind [and regretted their error] to the point that the earth closed in on them in spite of its vastness and their souls confined them and they were certain that there is no refuge from Allah except in Him. Then He turned to them so they could repent. Indeed, Allah is the Accepting of repentance, the Merciful.
Aur teen shakson kay haal per bhi jin ka moamla multawee chor diya gaya tha. Yahan tak kay jab zamin ba-waajood apni farakhi kay unn per tang honey lagi aur woh khud apni jaan say tang aagaye aur unhon ney samajh liya kay Allah say kahin panah nahi mill sakti be-juz iss kay kay ussi ki taraf rujoo kiya jaye phir unn kay haal per tawajja farmaee takay woh aaeenda bhi toba ker saken. Be-shak Allah Taalaa boht toba qabool kerney wala aur bara reham wala hai.
और उन तीन शख़्सों के हाल पर भी जिनका मामला मुल्तवी छोड़ दिया गया था, यहाँ तक कि जब ज़मीन बावजूद अपनी वुसअत के उन पर तंग होने लगी और वे ख़ुद अपनी जान से तंग आ गए और उन्होंने समझ लिया कि अल्लाह से कहीं पनाह नहीं मिल सकती सिवाए इसके कि उसी की तरफ़ रुजूअ़ किया जाए, फिर अल्लाह ने उनके हाल पर तवज्जोह फ़रमाई ताकि वे आइंदा भी तौबा कर सकें, बेशक अल्लाह तौबा क़बूल करने वाला बड़ा रहम करने वाला है।
O you who have believed, fear Allah and be with those who are true.
Aey eman walo! Allah Taalaa say daro aur sachon kay sath raho.
ऐ ईमान वालो! अल्लाह से डरो और सच्चे लोगों के साथ रहो।
It was not [proper] for the people of Madinah and those surrounding them of the bedouins that they remain behind after [the departure of] the Messenger of Allah or that they prefer themselves over his self. That is because they are not afflicted by thirst or fatigue or hunger in the cause of Allah , nor do they tread on any ground that enrages the disbelievers, nor do they inflict upon an enemy any infliction but that is registered for them as a righteous deed. Indeed, Allah does not allow to be lost the reward of the doers of good.
Madinay kay rehney walon ko aur jo dehaati unn kay gird-o-paish mein hain unn ko yeh zaiba na tha kay rasool Allah ko chor ker peechay reh jayen aur na yeh kay apni jaan ko unn ki jaan say aziz samajhen yeh iss sabab say key inn ko Allah ki raah mein jo piyas lagi aur jo thakaan phonchi aur jo bhook lagi aur jo kissi aisi jagah chalay jo kuffaar kay liye mojib-e-ghaiz hua ho aur dushmanon ki jo kuch khabar li inn sab per inn kay naam ( aik aik ) nek kaam likh gaya. Yaqeenan Allah Taalaa mukhliseen ka ajar zaya nahi kerta.
मुनासिब नहीं था मदीना वालों और अतराफ़ के देहातियों के लिए कि वे अल्लाह के रसूल को छोड़ कर पीछे बैठे रहें और न यह कि अपनी जानों को उनकी जान से अज़ीज़ रखें, यह इसलिए कि जो प्यास और थकान और भूख भी उनको अल्लाह की राह में लाहिक़ होती है और जो क़दम भी वे काफ़िरों को रंज पहुँचाने वाला उठाते हैं और जो चीज़ भी वे दुश्मन से छीनते हैं उनके बदले में उनके लिए एक नेकी लिख दी जाती है, बेशक अल्लाह नेकी करने वालों का अज्र ज़ाया नहीं करता।
Nor do they spend an expenditure, small or large, or cross a valley but that it is registered for them that Allah may reward them for the best of what they were doing.
Aur jo kuch chota bara enhon ney kharach kiya aur jitney maidan inn ko tey kerney paray yeh sab bhi inn kay naam likha gaya takay Allah Taalaa inn kay kaamon ka achay say acha badla dey.
और जो छोटा या बड़ा ख़र्च उन्होंने किया और जो मैदान उन्होंने तय किए वे सब उनके लिए लिखा गया; ताकि अल्लाह उनके अमल का अच्छे से अच्छा बदला दे।
And it is not for the believers to go forth [to battle] all at once. For there should separate from every division of them a group [remaining] to obtain understanding in the religion and warn their people when they return to them that they might be cautious.
Aur musalmanon ko yeh na chahaiye kay sab kay sab nikal kharay hon so aisa kiyon na kiya jaye kay inn ki her bari jamat mein say aik choti jamat jaya keray takay woh deen ki samajh boojh hasil keren aur takay yeh log apni qom ko jabkay woh inn kay pass aayen darayen takay woh darr jayen.
और यह मुमकिन न था कि अहले-ईमान सबके सब निकल खड़े हों, तो ऐसा क्यों न हुआ कि उनके हर गिरोह में से एक हिस्सा निकल कर आता; ताकि वे दीन में समझ पैदा करता और वापस जाकर अपनी क़ौम के लोगों को आगाह करता; ताकि वे भी परहेज़ करने वाले बनते।
O you who have believed, fight those adjacent to you of the disbelievers and let them find in you harshness. And know that Allah is with the righteous.
Aey eman walon! inn kuffaar say laro jo tumharay aas pass hain aur inn ko tumharay andar sakhti pana chahaiye aur yeh yaqeen rakho kay Allah Taalaa muttaqi logon kay sath hai.
ऐ ईमान वालो! उन काफ़िरों से जंग करो जो तुम्हारे आसपास हैं और चाहिए कि वे तुम्हारे अंदर सख़्ती पाएं, और जान लो कि अल्लाह डरने वालों के साथ है।
And whenever a surah is revealed, there are among the hypocrites those who say, "Which of you has this increased faith?" As for those who believed, it has increased them in faith, while they are rejoicing.
Aur jab koi surat nazil ki jati hai to baaz munafiqeen kehtay hain kay iss surat ney tum mein say kiss kay eman ko ziyada kiya hai so log jo eman walay hain iss surat ney unn kay eman ko ziyada kiya hai aur woh khush horahey hain.
और जब कोई सूरत उतरती है तो उनमें से बअज़ कहते हैं कि इसने तुम में से किस का ईमान बढ़ा दिया है पस जो ईमान वाले हैं उनका इसने ईमान बढ़ा दिया है और वे ख़ुश हो रहे हैं।
But as for those in whose hearts is disease, it has [only] increased them in evil [in addition] to their evil. And they will have died while they are disbelievers.
Aur jin kay dilon mein rog hai iss surat ney unn mein unn ki gandagi kay sath aur gandagi barha di aur woh halat-e-kufur hi mein marr gaye.
और जिन लोगों के दिलों में (निफ़ाक़ की) बीमारी है तो उसने बढ़ा दी उनकी गंदगी पर गंदगी और वे मरने तक काफ़िर ही रहे।
Do they not see that they are tried every year once or twice but then they do not repent nor do they remember?
Aur kiya inn ko nahi dikhlaee deta kay yeh log her saal aik baar ya do baar kissi na kissi aafat mein phanstay rehtay hain phir bhi na toba kertay aur na naseehat qabool kertay hain.
क्या ये लोग देखते नहीं कि वे हर साल एक बार या दो बार आज़माइश में डाले जाते हैं फिर भी न तौबा करते हैं और न सबक़ हासिल करते हैं।
And whenever a surah is revealed, they look at each other, [saying], "Does anyone see you?" and then they dismiss themselves. Allah has dismissed their hearts because they are a people who do not understand.
Aur jab koi surat nazil ki jati hai to aik doosray ko dekhney lagtay hain kay tum ko koi dekhta to nahi phir chal detay hain Allah Taalaa ney inn ka dil pher diya hai iss waja say kay woh bey samajh log hain.
और जब कोई सूरत उतारी जाती है तो ये लोग आपस में एक-दूसरे को देखते हैं कि कोई देखता तो नहीं, फिर चल देते हैं, अल्लाह ने उनके दिलों को फेर दिया इस वजह से कि यह समझ से काम लेने वाले लोग नहीं हैं।
There has certainly come to you a Messenger from among yourselves. Grievous to him is what you suffer; [he is] concerned over you and to the believers is kind and merciful.
Tumharay pass aik aisay payghumber tashreef laye hain jo tumhari jinss mein say hain jin per tumhari takleef boht hi dushwaar guzarti hai jo tumhari bhalaee kay khuwan hain. Jo musalmanon per baray hi shafiq aur meharban hain.
तुम्हारे पास एक रसूल आया है जो ख़ुद तुम्ही में से है, तुम्हारा नुक़सान में पड़ना उस पर भारी है, वह तुम्हारी भलाई का हरीस है, ईमान वालों पर निहायत शफ़क़त करने वाला, मेहरबान है।
But if they turn away, [O Muhammad], say, "Sufficient for me is Allah ; there is no deity except Him. On Him I have relied, and He is the Lord of the Great Throne."
Phir agar roo gardaani keren to aap keh dijiye kay meray liya Allah kafi hai iss kay siwa koi mabood nahi. Mein ney issi per bharosa kiya aur woh baray arsh ka maalik hai.
फिर भी अगर वे मुँह फेर लें तो कह दीजिए कि अल्लाह मेरे लिए काफ़ी है, उसके सिवा कोई माबूद नहीं, उसी पर मैंने भरोसा किया है और वही अर्शे-अज़ीम का मालिक है।