That is [deserved by them] because Allah has sent down the Book in truth. And indeed, those who differ over the Book are in extreme dissension.
Inn azabon ka baees yeh hi hai kay Allah Taalaa ney sachi kitab utari aur iss kitab mein ikhtilaf kerney walay yaqeenan door kay khilaf mein hain.
यह इस लिए कि अल्लाह ने अपनी किताब को ठीक-ठीक उतारा, मगर जिन लोगों ने किताब में कई राहें निकाल लीं वे ज़िद में दूर जा पड़े।
He has sent down upon you, [O Muhammad], the Book in truth, confirming what was before it. And He revealed the Torah and the Gospel.
Jiss ney aap per haq kay sath iss kitab ko nazil farmaya hai jo apney say pehlay ki tasdeeq kerney wali hai ussi ney iss say pehlay toraat aur injeel ko utara tha.
उसने तुम पर किताब उतारी हक़ के साथ, सच्चा करने वाली उस चीज़ को जो उसके आगे है और उसने तौरात और इंजील उतारी।
O you who have believed, believe in Allah and His Messenger and the Book that He sent down upon His Messenger and the Scripture which He sent down before. And whoever disbelieves in Allah , His angels, His books, His messengers, and the Last Day has certainly gone far astray.
Aey eman walo! Allah Taalaa per uss kay rasool ( PBUH ) per aur uss kitab per jo uss ney apney rasool ( PBUH ) per utari hai aur unn kitabon per jo iss say pehlay uss ney nazil farmaee hain eman lao! Jo shaks Allah Taalaa say aur uss kay farishton say aur uss ki kitabon say aur uss kay rasoolon say aur qayamat kay din say kufur keray woh to boht baray door ki gumrahi mein jaa para.
ऐ ईमान वालो! ईमान लाओ अल्लाह पर और उसके रसूल पर और उस किताब पर जो उसने अपने रसूल पर उतारी और उस किताब पर जो उसने पहले नाज़िल की, और जो शख़्स इनकार करे अल्लाह का और उसके फ़रिश्तों का और उसकी किताबों का और उसके रसूलों का और आख़िरत के दिन का तो वह बहक कर दूर जा पड़ा।
And it has already come down to you in the Book that when you hear the verses of Allah [recited], they are denied [by them] and ridiculed; so do not sit with them until they enter into another conversation. Indeed, you would then be like them. Indeed Allah will gather the hypocrites and disbelievers in Hell all together -
Aur Allah Taalaa tumharay pass apni kitab mein yeh hukum utaar chuka hai kay tum jab kissi majlis walon ko Allah Taalaa ki aayaton kay sath kufur kertay aur mazaq uratay huye suno to uss majmay mein unn kay sath na betho! Jab tak kay woh iss kay ilawa aur baaten na kerney lagen ( werna ) tum bhi uss waqt unhi jaisay ho yaqeenan Allah Taalaa tamam kafiron aur sab munafiqon ko jahannum mein jama kerney wala hai.
और अल्लाह किताब में तुम पर यह हुक्म उतार चुका है कि जब तुम सुनो कि अल्लाह की निशानियों का इनकार किया जा रहा है और उनका मज़ाक़ उड़ाया जा रहा है तो तुम उनके साथ न बैठो यहाँ तक कि वे दूसरी बात में मशग़ूल हो जाएं वर्ना तुम भी उन्हीं जैसे हो गए, अल्लाह मुनाफ़िक़ों को और काफ़िरों को जहन्नम में एक जगह इकट्ठा करने वाला है।
[Hud] said, "Already have defilement and anger fallen upon you from your Lord. Do you dispute with me concerning [mere] names you have named them, you and your fathers, for which Allah has not sent down any authority? Then wait; indeed, I am with you among those who wait."
Unhon ney farmaya kay bus abb tum per Allah ki taraf say azab aur ghazab aaya hi chahata hai kiya tum mujh say aisay naamon kay baab mein jhagartay ho jin ko tum ney aur tumharay baap dadon ney thehra liya hai? Unn kay mabood honey ko Allah ney koi daleel nahi bheji. So tum muntazir raho mein bhi tumharay sath intizar ker raha hun.
हूद (अलै॰) ने कहाः तुम पर तुम्हारे रब की तरफ़ से अज़ाब और ग़ुस्सा वाक़े हो चुका है, क्या तुम मुझसे उन नामों पर झगड़ते हो जो तुमने और तुम्हारे बाप-दादाओं ने रख लिए हैं, जिनकी अल्लाह ने कोई दलील नहीं उतारी, पस इन्तिज़ार करो मैं भी तुम्हारे साथ इन्तिज़ार करने वालों में से हूँ।
Indeed, my protector is Allah , who has sent down the Book; and He is an ally to the righteous.
Yaqeenan mera madadgar Allah Taalaa hai jiss ney yeh kitab nazil farmaee aur woh nek bandon ki madad kerta hai.
यक़ीनन मेरा कारसाज़ तो अल्लाह है जिसने किताब उतारी है और वही कारसाज़ी करता है, नेक बंदों की।
Blessed is He who sent down the Criterion upon His Servant that he may be to the worlds a warner -
Bohat ba-barkat hai woh Allah Taalaa jiss ney apnay banday per furqan utara takay woh tamam logon kay liye aagah kerney wala bann jaye.
बड़ी बरकत वाला है वह जिस ने यह फ़ुरक़ान अपने बन्दे पर अवतरित किया, ताकि वह सारे संसार के लिए सावधान करने वाला हो
Allah has sent down the best statement: a consistent Book wherein is reiteration. The skins shiver therefrom of those who fear their Lord; then their skins and their hearts relax at the remembrance of Allah . That is the guidance of Allah by which He guides whom He wills. And one whom Allah leaves astray - for him there is no guide.
Allah Taalaa ney behtareen kalam nazil farmaya hai jo aisi kitab hai kay aapas mein milti julti aur baar baar dohraee hui aayaton ki hai jiss say unn logon kay rongtay kharay hojatay hain jo apnay rab ka khof rakhtay hain aakhir mein unn kay jisam aur dil Allah Taalaa kay zikar ki taraf naram hojatay hain yeh hai Allah Taalaa ki hidayat jiss kay zariyey jissay chahaye raah-e-raast per laga deta hai. Aur jissay Allah Taalaa hi raah bhula dey uss ka koi hadi nahi.
अल्लाह ने सर्वोत्तम वाणी अवतरित की, एक ऐसी किताब जिस के सभी भाग परस्पर मिलते-जुलते हैं, जो रुख़ फेर देने वाली (क्रांतिकारी) है। उस से उन लोगों के रोंगटे खड़े हो जाते हैं जो अपने रब से डरते हैं। फिर उन की खालें (शरीर) और उन के दिल नर्म होकर अल्लाह की याद की ओर झुक जाते हैं। वह अल्लाह का मार्गदर्शन है, उस के द्वारा वह सीधे मार्ग पर ले आता है, जिसे चाहता है। और जिस को अल्लाह पथभ्रष्ट रहने दे, फिर उस के लिए कोई मार्गदर्शक नहीं
And who sends down rain from the sky in measured amounts, and We revive thereby a dead land - thus will you be brought forth -
Ussi ney aasman say aik andazay kay mutabiq pani nazil farmaya pus hum ney iss say murah shehar ko zindah ker diya.issi tarah tum nikalay jaogay.
और जिस ने आकाश से एक अन्दाज़े से पानी उतारा। और हम ने उस के द्वारा मृत भूमि को जीवित कर दिया। इसी तरह तुम भी (जीवित करके) निकाले जाओगे
That is because they said to those who disliked what Allah sent down, "We will obey you in part of the matter." And Allah knows what they conceal.
Yeh iss liye kay unhon ney inn logon say jinhon ney Allah ki nazil kerdah wahee ko bura samjha yeh kaha kay hum bhi unqareeb baaz kamon mein tumhara kaha manen gay aur Allah unki posheedah batein khoob janta hai.
यह इसलिए कि उन्होंने उन लोगों से, जिन्होंने उस चीज़ को नापसन्द किया जो कुछ अल्लाह ने उतारा है, कहा कि "हम कुछ मामलों में तुम्हारी बात मान लेंगे।" अल्लाह उन की गुप्त बातों को भली-भाँति जानता है
They will say," Yes, a warner had come to us, but we denied and said, ' Allah has not sent down anything. You are not but in great error.' "
Woh jawab dengey kay be-shak aaya tha lekin hum ney ussay jhutlaya aur hum ney kaha kay Allah taalaa ney kuch bhi naazil nahi farmaya tum boht bari gumrahi mein hi ho.
वे कहेंगे, "क्यों नहीं, अवश्य हमारे पास आया था, किन्तु हम ने झुठला दिया और कहा कि अल्लाह ने कुछ भी नहीं अवतरित किया। तुम तो बस एक बड़ी गुमराही में पड़े हुए हो।"