Say, "Is it other than Allah I should desire as a lord while He is the Lord of all things? And every soul earns not [blame] except against itself, and no bearer of burdens will bear the burden of another. Then to your Lord is your return, and He will inform you concerning that over which you used to differ."
Aap farma dijiya kay kiya mein Allah kay siwa kissi aur ko rab bananey kay liye talash keroon halankay woh maalik hai her cheez ka aur jo shaks bhi koi amal kerta hai woh ussi per rehta hai aur koi kissi doosray ka bojh na uthaye ga. Phir tum sab ko apney rab kay pass jana hoga. Phir woh tum ko jatlaye ga jiss jiss cheez mein tum ikhtilaf kertay thay.
कहिए कि क्या में अल्लाह के सिवा कोई और रब तलाश करूँ जबकि वही हर चीज़ का रब है, और जो शख़्स भी कोई कमाई करता है वह उसी पर रहती है और कोई बोझ उठाने वाला दूसरे का बोझ न उठाएगा, फिर तुम्हारे रब ही की तरफ़ तुम्हारा लौटना है पस वह तुम्हें बता देगा वह चीज़ जिसमें तुम इख़्तिलाफ़ करते थे।
Indeed, your Lord is Allah , who created the heavens and earth in six days and then established Himself above the Throne. He covers the night with the day, [another night] chasing it rapidly; and [He created] the sun, the moon, and the stars, subjected by His command. Unquestionably, His is the creation and the command; blessed is Allah , Lord of the worlds.
Be-shak tumhara rab Allah hi hai jiss ney sab aasmanon aur zamin ko cheh roz mein peda kiya hai phir arsh per qaeem hua. Woh shab say din ko aisay tor per chupa deta hai kay woh shab uss din ko jaldi aa leti hai aur sooraj aur chand aur doosray sitaron ko peda kiya aisay tor per kay sab uss kay hukum kay tabey hain. Yaad rakho Allah hi kay liye khas hai khaliq hona aur haakim hona bari khoobiyon say bhara hua hai Allah jo tamam aalam ka perwerdigar hai.
बेशक तुम्हारा रब वही अल्लाह है जिसने आसमानों और ज़मीन को छः दिनों में पैदा किया फिर वह अर्श पर क़ायम हुआ, वह उढ़ाता है रात को दिन पर इस तरह कि दिन उसके पीछे लगा आता है दौड़ता हुआ, और (उसने पैदा किए) सूरज और चाँद और सितारे जो ताबेदार हैं उसके हुक्म के, याद रखो! उसी का काम है पैदा करना और हुक्म करना, बड़ी बरकत वाला है अल्लाह जो रब है सारे जहानों का।
But if they turn away, [O Muhammad], say, "Sufficient for me is Allah ; there is no deity except Him. On Him I have relied, and He is the Lord of the Great Throne."
Phir agar roo gardaani keren to aap keh dijiye kay meray liya Allah kafi hai iss kay siwa koi mabood nahi. Mein ney issi per bharosa kiya aur woh baray arsh ka maalik hai.
फिर भी अगर वे मुँह फेर लें तो कह दीजिए कि अल्लाह मेरे लिए काफ़ी है, उसके सिवा कोई माबूद नहीं, उसी पर मैंने भरोसा किया है और वही अर्शे-अज़ीम का मालिक है।
[Moses] said, "You have already known that none has sent down these [signs] except the Lord of the heavens and the earth as evidence, and indeed I think, O Pharaoh, that you are destroyed."
Musa ney jawab diya kay yeh to tujhay ilm ho chuka hai kay aasman-o-zamin kay perwerdigar hi ney yeh moajzzay dikhaney samjhaney ko nazil farmaye hain aey firaon! Mein to samajh raha hun kay tu yaqeenan barbad-o-halak kiya gaya hai.
उस ने कहा, "तू भली-भाँति जानता है कि आकाशों और धऱती के रब के सिवा किसी और ने इन (निशानियों) को स्पष्ट प्रमाण बनाकर नहीं उतारा है। और ऐ फ़िरऔन! मैं तो समझता हूँ कि तू विनष्ट होने को है।"
And We made firm their hearts when they stood up and said, "Our Lord is the Lord of the heavens and the earth. Never will we invoke besides Him any deity. We would have certainly spoken, then, an excessive transgression.
Hum ney unn kay dil mazboot ker diye thay jabkay yeh uth kharay huye aur kehney lagay kay humara perwerdigar to wohi hai jo aasman-o-zamin ka perwerdigar hai na mumkin hai kay hum uss kay siwa kissi aur mabood ko pukaren agar aisa kiya to hum ney nihayat hi ghalat baat kahi.
और हम ने उन के दिलों को सुदृढ़ कर दिया। जब वे उठे तो उन्होंने कहा, "हमारा रब तो वही है जो आकाशों और धरती का रब है। हम उस से इतर किसी अन्य पूज्य को कदापि न पुकारेंगे। यदि हम ने ऐसा किया तब तो हमारी बात हक़ से बहुत हटी हुई होगी
Lord of the heavens and the earth and whatever is between them - so worship Him and have patience for His worship. Do you know of any similarity to Him?"
Aasmano ka zamin ka aur jo kuch inn kay darmiyan hai sab ka rab wohi hai tu ussi ki bandagi ker aur uss ki ibadat per jamm ja. Kiya teray ilm mein uss ka hum naam hum palla koi aur bhi hai?
आकाशों और धरती का रब है और उस का भी जो इन दोनों के मध्य है। अतः तुम उसी की बन्दगी पर जमे रहो। क्या तुम्हारे ज्ञान में उस जैसा कोई है?
He said, "[No], rather, your Lord is the Lord of the heavens and the earth who created them, and I, to that, am of those who testify.
Aap ney farmaya nahi dar-haqeeqat tum sab ka perwerdigar to woh hai jo aasmano aur zamin ka malik hai jiss ney unehn peda kiya hai mein to issi baat ka gawah aur qaeel hun.
उस ने कहा, "नहीं, बल्कि बात यह है कि तुम्हारा रब आकाशों और धरती का रब है, जिस ने उन को पैदा किया है और मैं इस पर तुम्हारे सामने गवाही देता हूँ
So exalted is Allah , the Sovereign, the Truth; there is no deity except Him, Lord of the Noble Throne.
Allah Taalaa sacha badshah hai woh bari bulandi wala hai uss ka siwa koi mabood nahi wohi buzurg arsh ka malik hai.
तो सर्वोच्च है अल्लाह, सच्चा सम्राट! उस के सिवा कोई पूज्य-प्रभु नहीं, स्वामी है महिमाशाली सिंहासन का
Said Pharaoh, "And what is the Lord of the worlds?"
Firaon ney kaha rab-ul-aalameen kiya cheez hai?
फ़िरऔन ने कहा, "और यह सारे संसार का रब क्या होता है?"
[Moses] said, "The Lord of the heavens and earth and that between them, if you should be convinced."
( hazrat ) musa ( alh-e-salam ) ney farmaya woh aasamano aur zamin aur inn kay darmiyan ki tamam cheezon ka rab hai agar tum yaqeen rakhney walay ho.
उस ने कहा, "आकाशों और धरती का रब और जो कुछ इन दोनों के मध्य है उस का भी, यदि तुम्हें यकीन हो।"
[Moses] said, "Lord of the east and the west and that between them, if you were to reason."
( hazrat ) musa ( alh-e-salam ) ney farmaya! Wohi mashriq-o-maghrib ka aur inn kay darmiyan ki tamam cheezon ka rab hai agar tum aqal rakhtay ho.
उस ने कहा, "पूर्व और पश्चिम का रब और जो कुछ उन के बीच है उस का भी, यदि तुम कुछ बुद्धि रखते हो।"
Allah - there is no deity except Him, Lord of the Great Throne."
Uss kay siwa koi mabood bar-haq nahi wohi azmat walay arsh ka malik hai.
अल्लाह कि उस के सिवा कोई इष्ट -पूज्य नहीं, वह महान सिंहासन का रब है।"
But when he came to it, he was called from the right side of the valley in a blessed spot - from the tree, "O Moses, indeed I am Allah , Lord of the worlds."
Pus jab wahan phonchay to uss ba-barkat zamin kay maidan kay dayen kinaray kay darakht mein say awaz diyey gaye kay aey musa! Yaqeenan mein hi Allah hun saray jahano ka perwerdigar.
फिर जब वह वहाँ पहुँचा तो दाहिनी घाटी के किनारे से शुभ क्षेत्र में वृक्ष से आवाज़ आई, "ऐ मूसा! मैं ही अल्लाह हूँ, सारे संसार का रब!"
Lord of the heavens and the earth and that between them and Lord of the sunrises.
Aasmano aur zamin aur inn kay darmiyan ki tamam cheezon aur mashriqon ka rab wohi hai.
वह आकाशों और धरती और जो कुछ उन के बीच है सबका रब है और पूर्व दिशाओं का भी रब है
Lord of the heavens and the earth and whatever is between them, the Exalted in Might, the Perpetual Forgiver."
Jo perwerdigar hai aasmano ka aur zamin ka aur jo kuch inn kay darmiyan hai woh zabardast aur bara bakhsney wala hai.
आकाशों और धरती का रब है, और जो कुछ इन दोनों के बीच है उस का भी, अत्यन्त प्रभुत्वशाली, बड़ा क्षमाशील।"
It is Allah who made for you the earth a place of settlement and the sky a ceiling and formed you and perfected your forms and provided you with good things. That is Allah , your Lord; then blessed is Allah , Lord of the worlds.
Allah hi hai jiss ney tumharay liye zami ko therney ki jagah aur aasman ko chat bana diya aur tumhari sooraten banaeen aur boht achi banaeen aur tumehn umdah umdah cheezen khaney ko ata farmaeen yehi Allah tumhara perwerdigar hai pus boht hi barkaton wala Allah hai saray jahaan ka perwerish kerney wala.
अल्लाह ही है जिस ने तुम्हारे लिए धरती को ठहरने का स्थान बनाया और आकाश को एक भवन के रूप में बनाया, और तुम्हें रूप दिए तो क्या ही अच्छे रूप दिए, और तुम्हें अच्छी पाक चीज़ों की रोज़ी दी। वह है अल्लाह, तुम्हारा रब। तो बड़ी बरकत वाला है अल्लाह, सारे संसार का रब
Say, "Do you indeed disbelieve in He who created the earth in two days and attribute to Him equals? That is the Lord of the worlds."
Aap keh dijiye! Kay kiya tum uss ( Allah ) ka inkar kertay ho aur tum uss kay shareek muqarrar kertay ho jiss ney do din mein zamin peda kerdi saray jahano ka perwardigar wohi hai.
कहो, "क्या तुम उस का इनकार करते हो, जिस ने धरती को दो दिनों (काल) में पैदा किया और तुम उस के समकक्ष ठहराते हो? वह तो सारे संसार का रब है
And that it is He who is the Lord of Sirius
Aur yeh kay wohi sheyara ( sitaray ) ka rab hai.
और यह कि वही है जो शेअरा (नामक तारे) का रब है
[He is] Lord of the two sunrises and Lord of the two sunsets.
Woh rab hai dono mashriqon aur dono maghribon ka.
वह दो पूर्व का रब है और दो पश्चिम का रब भी।
[He is] the Lord of the East and the West; there is no deity except Him, so take Him as Disposer of [your] affairs.
Mashriq o maghrib ka perwardigar jis ka koi maabood nahi to usko apna karsaz bana lay
वह पूर्व और पश्चिम का रब है, उस के सिवा कोई इष्ट-पूज्य नहीं, अतः तुम उसी को अपना कार्यसाधक बना लो
And you do not will except that Allah wills - Lord of the worlds.
Aur tum baghair parwardigar e alam kay chahaye kuch nahi chah saktay.
और तुम नहीं चाह सकते सिवाय इस के कि सारे जहान का रब अल्लाह चाहे