And they say, "These animals and crops are forbidden; no one may eat from them except whom we will," by their claim. And there are those [camels] whose backs are forbidden [by them] and those upon which the name of Allah is not mentioned - [all of this] an invention of untruth about Him. He will punish them for what they were inventing.
Aur woh apney khayal per yeh bhi kehtay hain kay yeh kuch mawashi hain aue khet hain jin ka isteymaal her shaks ko jaeez nahi inn ko koi nahi kha sakta siwaye unn kay jin ko hum chahayen aur mawashi hain jin per sawari ya baar bardari haram ker di gaee aue kuch mawashi hain jin per yeh log Allah Taalaa ka naam nahi letay mehaz Allah per iftra bandhney kay tor per. Abhi Allah Taalaa inn ko inn kay iftra ki saza diye deta hai.
और कहते हैं कि यह जानवर और खेती ममनूअ है उन्हें कोई नहीं खा सकता सिवाए उसके जिसको हम चाहें उनके अपने गुमान के मुताबिक़, और फ़लाँ चौपाये हैं कि उनकी पीठ (पर सवारी) हराम कर दी गई है और कुछ चौपाये हैं जिन पर वे अल्लाह का नाम नहीं लेते, यह सब उन्होंने अल्लाह पर झूठ बाँधा है, अल्लाह जल्द उनको इस झूठ बाँधने का बदला देगा।
And whenever a surah is revealed, there are among the hypocrites those who say, "Which of you has this increased faith?" As for those who believed, it has increased them in faith, while they are rejoicing.
Aur jab koi surat nazil ki jati hai to baaz munafiqeen kehtay hain kay iss surat ney tum mein say kiss kay eman ko ziyada kiya hai so log jo eman walay hain iss surat ney unn kay eman ko ziyada kiya hai aur woh khush horahey hain.
और जब कोई सूरत उतरती है तो उनमें से बअज़ कहते हैं कि इसने तुम में से किस का ईमान बढ़ा दिया है पस जो ईमान वाले हैं उनका इसने ईमान बढ़ा दिया है और वे ख़ुश हो रहे हैं।
And whoever is blind in this [life] will be blind in the Hereafter and more astray in way.
Aur jo koi iss jahan mein andha raha woh aakhirat mein bhi andha aur raastay say boht hi bhatka hua rahey ga.
और जो यहाँ अंधा होकर रहा वह आख़िरत में भी अंधा ही रहेगा, बल्कि वह मार्ग से और भी अधिक दूर पड़ा होगा
And similarly, We awakened them that they might question one another. Said a speaker from among them, "How long have you remained [here]?" They said, "We have remained a day or part of a day." They said, "Your Lord is most knowing of how long you remained. So send one of you with this silver coin of yours to the city and let him look to which is the best of food and bring you provision from it and let him be cautious. And let no one be aware of you.
Issi tarah hum ney unhen jaga ker utha diya kay aapas meinpooch gooch kerlen. Aik kehney walay ney kaha kay kiyon bhaee tum kitney dair thehray rahey? Unhon ney jawab diya kay aik din ya aik din say bhi kum. Kehney lagay kay tumharay thehray rehney ka ilm ba-khoobi Allah Taalaa hi ko hai. Abb to tum apney mein say kissi ko apni yeh chandi dey ker shehar bhejo woh khoob dekh bhaal ley kay shehar ka kaun say khana pakeeza tar hai phir ussi mein say tumharay liye khaney kay liye ley aaye aur boht ehtiyat aur narmi barttay aur kissi ko tumhari khabar na honey dey.
और इसी तरह हम ने उन्हें उठा खड़ा किया कि वे आपस में पूछताछ करें। उन में एक कहने वाले ने कहा, "तुम कितना ठहरे रहे?" वे बोले, "हम यही कोई एक दिन या एक दिन से भी कम ठहरें होंगे।" उन्होंने कहा, "जितना तुम यहाँ ठहरे हो उसे तुम्हारा रब ही भली-भाँति जानता है। अब अपने में से किसी को यह चाँदी का सिक्का देकर नगर की ओर भेजो। फिर वह देख ले कि उस में सबसे अच्छा खाना किस जगह मिलता है। तो उस में से वह तुम्हारे लिए कुछ खाने को ले आए और चाहिए की वह नरमी और होशियारी से काम ले और किसी को तुम्हारी ख़बर न होने दे
And he entered his garden while he was unjust to himself. He said, "I do not think that this will perish - ever.
Aur yeh apney baagh mein gaya aur tha apni jaan per zulm kerney wala. Kehney laga kay mein khayal nahi ker sakta kay kissi waqt bhi yeh barbaad hojaye.
वह अपने हक़ में ज़ालिम बनकर बाग़ में प्रविष्ट हुआ। कहने लगा, "मैं ऐसा नहीं समझता कि वह कभी विनष्ट होगा
Indeed this, your religion, is one religion, and I am your Lord, so worship Me.
Yeh tumhari ummat hai jo haqeeqat mein aik hi ummat hai aur mein tum sab ka perwerdigar hun pus tum meri hi ibadat kero.
"निश्चय ही यह तुम्हारा समुदाय एक ही समुदाय है और मैं तुम्हारा रब हूँ। अतः तुम मेरी बन्दगी करो।"
And indeed this, your religion, is one religion, and I am your Lord, so fear Me."
Yaqeenan tumhara yeh deen aik hi deen hai aur mein hi tum sab ka rab hun pus tum mujh say dartay raho.
और निश्चय ही यह तुम्हारा समुदाय, एक ही समुदाय है और मैं तुम्हारा रब हूँ। अतः मेरा डर रखो।"