Neither those who disbelieve from the People of the Scripture nor the polytheists wish that any good should be sent down to you from your Lord. But Allah selects for His mercy whom He wills, and Allah is the possessor of great bounty.
Na to ehal-e-kitab kay kafir aur na mushrikeen chahatay hain kay tum per tumharay rab ki koi bhalaee nazil ho ( inn kay iss hasad say kiya hua ) Allah Taalaa jissay chahaye apni rehmat-e-khusoosiyat say ata farmaye Allah Taalaa baray fazal wala hai.
जिन लोगों ने इनकार किया ख़्वाह अहले-किताब हों या मुशरिकीन, वे नहीं चाहते कि तुम्हारे ऊपर तुम्हारे रब की तरफ़ से कोई भलाई उतारी जाए, और अल्लाह जिसको चाहता है अपनी रहमत के लिए ख़ास कर लेता है, अल्लाह बड़े फ़ज़्ल वाला है।
Before, as guidance for the people. And He revealed the Qur'an. Indeed, those who disbelieve in the verses of Allah will have a severe punishment, and Allah is exalted in Might, the Owner of Retribution.
Iss say pehlay logon ko hidayat kerney wali bana ker aur quran bhi ussi ney utara jo log Allah Taalaa ki aayaton say kufur kertay hain unn kay liye sakht azab hai aur Allah Taalaa ghalib hai badla lenay wala hai.
इससे पहले लोगों की हिदायत के लिए, और अल्लाह ही ने यह फ़र्क़ करने वाली किताब उतारी, बेशक जिन लोगों ने अल्लाह की निशानियों का इनकार किया उनके लिए सख़्त अज़ाब है, और अल्लाह ज़बरदस्त है, बदला लेने वाला है।
He selects for His mercy whom He wills. And Allah is the possessor of great bounty.
Woh apni rehmat kay sath jissay chahaye makhsoos ker ley aur Allah Taalaa baray fazal wala hai.
वह जिसको चाहता है अपनी रहमत के लिए ख़ास कर लेता है, और अल्लाह बड़ा फ़ज़्ल वाला है।
O you who have believed, do not kill game while you are in the state of ihram. And whoever of you kills it intentionally - the penalty is an equivalent from sacrificial animals to what he killed, as judged by two just men among you as an offering [to Allah ] delivered to the Ka'bah, or an expiation: the feeding of needy people or the equivalent of that in fasting, that he may taste the consequence of his deed. Allah has pardoned what is past; but whoever returns [to violation], then Allah will take retribution from him. And Allah is Exalted in Might and Owner of Retribution.
Aey eman walo! ( wehshi ) shikar ko qatal mat kero jabkay tum halat-e-ehraam mein ho. Aur jo shaks tum mein say iss ko jaan boojh ker qatal keray ga to uss per fidya wajib hoga jo kay masawi hoga uss janwar kay jiss ko iss ney qatal kiya hai jiss ka faisla tum mein say do moatbar shaks ker den khuwa woh fidya khaas chopayon mein say ho jo niaz kay tor per kaaba tak phonchaya jaye aur khuwa kaffaara masakeen ko dey diya jaye aur khuwa iss kay barabar rozay rakh liye jayen takay apney kiye ki shamat ka maza chakhay Allah Taalaa ney guzishat ko moaf ker diya aur jo shaks phir aisi hi herkat keray ga to Allah Taalaa intiqam ley ga aur Allah zabardast hai intiqam lenay wala.
ऐ ईमान वालो! शिकार को न मारो जबकि तुम हालते-एहराम में हो और तुम में से जो शख़्स उसको जान-बूझ कर मारे तो उसका बदला उसी तरह का जानवर है जैसा कि उसने मारा है, इसका फ़ैसला तुम में से दो इंसाफ़ करने वाले आदमी करेंगे और यह नज़राना काबा पहुँचाया जाए, या उसके कफ़्फ़ारे में चंद मोहताजों को खाना खिलाना होगा या उसके बराबर रोज़े रखने होंगे; ताकि वह अपने किए की सज़ा चखे, अल्लाह ने माफ़ किया जो कुछ हो चुका, और जो शख़्स फिरेगा तो अल्लाह उससे बदला लेगा, और अल्लाह ज़बरदस्त है, बदला लेने वाला है।
And your Lord is the Free of need, the possessor of mercy. If He wills, he can do away with you and give succession after you to whomever He wills, just as He produced you from the descendants of another people.
Aur aap ka rab bilkul ghani hai rehmat wala hai agar woh chahaye to tum sab ko utha ley aur tumharay baad jiss ko chahaye tumhari jagah aabad keray jaisa kay tum ko aik doosri qom ki nasal say peda kiya hai.
और आपका रब बेनियाज़ रहमत वाला है, अगर वह चाहे तो तुम सबको उठा ले और तुम्हारे बाद जिसको चाहे तुम्हारी जगह ले आए जिस तरह उसने तुमको पैदा किया दूसरों की नस्ल से।
O you who have believed, if you fear Allah , He will grant you a criterion and will remove from you your misdeeds and forgive you. And Allah is the possessor of great bounty.
Aey eman walo! Agar tum Allah say dartay raho gay to Allah Taalaa tum ko aik faislay ki cheez dey ga aur tum say tumharay gunah door ker dey ga aur tum ko bakhsish dey ga aur Allah Taalaa baray fazal wala hai.
ऐ ईमान वालो! अगर तुम अल्लाह से डरते रहोगे तो अल्लाह तुमको एक फ़ैसले की चीज़ देगा और तुमसे तुम्हारे गुनाहों को दूर कर देगा और तुमको बख़्श देगा, और अल्लाह बड़े फ़ज़्ल वाला है।
So never think that Allah will fail in His promise to His messengers. Indeed, Allah is Exalted in Might and Owner of Retribution.
Aap hergiz yeh khayal na keren kay Allah apney nabiyon say wada khilafi keray ga Allah bara hi ghalib aur badla lenay wala hai.
पस आप अल्लाह को अपने पैग़म्बरों से वादा-ख़िलाफ़ी करने वाला न समझें, बेशक अल्लाह ज़बरदस्त है, बदला लेने वाला है।
And your Lord is the Forgiving, full of mercy. If He were to impose blame upon them for what they earned, He would have hastened for them the punishment. Rather, for them is an appointment from which they will never find an escape.
Tera perwerdigar boht hi baskhsish wala aur meharbani wala hai woh agar inn kay aemaal ki saza mein pakray to be-shak enhen jald hi azab ker dey bulkay inn kay liye aik waday ki ghari muqarrar hai jiss say woh sirakney ki hergiz jagah nahi payen gay.
तुम्हारा रब अत्यन्त क्षमाशील और दयावान है। यदि वह उन्हें उस पर पकड़ता जो कुछ कि उन्होंने कमाया है तो उन पर शीघ्र ही यातना ला देता। नहीं, बल्कि उन के लिए तो वादे का एक समय निशिचत है। उस से हटकर वे बच निकलने का कोई मार्ग न पाएँगे
The people of Noah denied before them, and [the tribe of] 'Aad and Pharaoh, the owner of stakes,
Inn say pehlay bhi qom-e-nooh aur aad aur meekhon walay firaon ney jhutlaya tha.
उन से पहले नूह की क़ौम और आद और मेखोंवाले फ़िरऔन ने झुठलाया
[He is] the Exalted above [all] degrees, Owner of the Throne; He places the inspiration of His command upon whom He wills of His servants to warn of the Day of Meeting.
Buland darjon wala arash ka malik woh apnay bandon mein say jiss per chahata hai wahee nazil kerta farmata hai takay woh mulaqat kay din say daraye.
वह ऊँचे दर्जों वाला, सिंहासन वाला है, अपने बन्दों में से जिस पर चाहता है, अपने हुक्म से रूह उतारता है, ताकि वह मुलाक़ात के दिन से सावधान कर दे
Indeed, it is Allah who is the [continual] Provider, the firm possessor of strength.
Allah taalaa to khud hi sab ka rozi rasan tawanaee wala aur zor awar hai.
निश्चय ही अल्लाह ही है रोज़ी देने वाला, शक्तिशाली, दृढ़
And grain having husks and scented plants.
Aur bhuss wala anaj hai aur khushboodar phool hain.
और भुसवाले अनाज भी और सुगंधित बेल-बूटा भी
And there will remain the Face of your Lord, Owner of Majesty and Honor.
Sirf teray rab ki zaat jo azmat aur izzat wali hai baqi reh jayegi.
किन्तु तुम्हारे रब का प्रतापवान और उदार स्वरूप शेष रहने वाला है
Race toward forgiveness from your Lord and a Garden whose width is like the width of the heavens and earth, prepared for those who believed in Allah and His messengers. That is the bounty of Allah which He gives to whom He wills, and Allah is the possessor of great bounty.
( Aao ) doro apney rab ki maghfirat ki taraf our uss jannat ki taraf jiss ki wussat kay barabar hai yeh unkay liye banaee gaee hai jo Allah per aur uskay rasoolon per eman rakhtay hain yeh Allah ka fazal hai jissay chahye dey aur Allah bara fazl wala hai.
अपने रब की क्षमा और उस जन्नत की ओर अग्रसर होने में एक-दूसरे से बाज़ी ले जाओ, जिस का विस्तार आकाश और धरती के विस्तार जैसा है, जो उन लोगों के लिए तैयार की गई है जो अल्लाह और उस के रसूलों पर ईमान लाए हों। यह अल्लाह का उदार अनुग्रह है, जिसे चाहता है प्रदान करता है। अल्लाह बड़े उदार अनुग्रह का मालिक है
[This is] so that the People of the Scripture may know that they are not able [to obtain] anything from the bounty of Allah and that [all] bounty is in the hand of Allah ; He gives it to whom He wills. And Allah is the possessor of great bounty.
yeh iss liye kay ehl-e-kitab jaan lein kay ALLAH kay fazal kay kissi hissay per bhi unhen ikhtiyar nahi aur yeh kay ( sara ) fazal ALLAH hi kay hath hai woh jissay chahye dey aur ALLAH hai hi bara fazal wala.
ताकि किताब वाले यह न समझें कि अल्लाह के अनुग्रह में से वे किसी चीज़ पर अधिकार न प्राप्त कर सकेंगे और यह कि अनुग्रह अल्लाह के हाथ में है, जिसे चाहता है प्रदान करता है। अल्लाह बड़े अनुग्रह का मालिक है
That is the bounty of Allah , which He gives to whom He wills, and Allah is the possessor of great bounty.
Yeh Allah ka fazal hai jissay chahaye apna fazal dey aur Allah Taalaa boht baray fazal ka maalik hai.
यह अल्लाह का उदार अनुग्रह है, जिस को चाहता है उसे प्रदान करता है। अल्लाह बड़े अनुग्रह का मालिक है
Honorable Owner of the Throne,
Arsh ka malik azmat wala hay
सिंहासन का स्वामी है, बडा गौरवशाली,