And leave those who take their religion as amusement and diversion and whom the worldly life has deluded. But remind with the Qur'an, lest a soul be given up to destruction for what it earned; it will have other than Allah no protector and no intercessor. And if it should offer every compensation, it would not be taken from it. Those are the ones who are given to destruction for what they have earned. For them will be a drink of scalding water and a painful punishment because they used to disbelieve.
Aur aisay logon say bilkul kinara kash rahen jinhon ney apney deen ko khel tamasha bana rakha hai aur dunyawi zindagi ney unhen dhokay mein daal rakha hai aur iss quran kay zariye say naseehat bhi kertay rahen takay koi shaks apney kirdaar kay sabab ( iss tarah ) na phans jaye kay koi ghair Allah uss ka na madagar ho aur na sifarshi aur yeh keyfiyar ho kay agar duniya bhar ka maawza bhi dey daalay tab bhi uss say na liya jaye. Aisay hi hain kay apney kirdaar kay sabab phans gaye unn kay liye nihayat tez garam pani peeney kay liye hoga aur dard naak saza hogi apney kufur kay sabab.
और उन लोगों को छोड़ दीजिए जिन्होंने अपने दीन को खेल-तमाशा बना रखा है और जिनको दुनिया की ज़िंदगी ने धोके में डाल रखा है, और क़ुरआन के ज़रिए नसीहत करते रहिए ताकि कोई शख़्स अपने किए में गिरफ़्तार न हो जाए; इस हाल में कि अल्लाह से बचाने वाला कोई मददगार और सिफ़ारशी उसके लिए न हो, और अगर वह दुनिया भर का मुआवज़ा भी दे दे तब भी उससे क़बूल न किया जाए, यही लोग हैं जो अपने किए में गिरफ़्तार हो गए, उनके पीने के लिए खौलता हुआ पानी होगा और दर्दनाक सज़ा होगी इसलिए कि वे कुफ़्र करते थे।
And likewise, to many of the polytheists their partners have made [to seem] pleasing the killing of their children in order to bring about their destruction and to cover them with confusion in their religion. And if Allah had willed, they would not have done so. So leave them and that which they invent.
Aur issi tarah boht say mushrikeen kay khayal mein unn kay maboodon ney unn ki aulad kay qatal kerney ko mustehsan bana rakha hai takay woh inn ko barbad keren aur takay inn kay deen ko inn per mushtaba ker den aur agar Allah ko manzoor hota to yeh aisa kaam na kertay to aap inn ko aur jo kuch ghalat baaten yeh bana rahey hain yun hi rehney dijiye.
और इस तरह बहुत-से मुशरिकों की नज़र में उनके शरीकों ने अपनी औलाद के क़त्ल को ख़ुशनुमा बना दिया; ताकि उनको बरबाद कर दें और उन पर उनके दीन को मुश्तबह बना दें, और अगर अल्लाह चाहता तो वे ऐसा न करते, पस उनको छोड़ दीजिए कि अपनी मन-घड़त बातों में लगे रहें।
Indeed, those who have divided their religion and become sects - you, [O Muhammad], are not [associated] with them in anything. Their affair is only [left] to Allah ; then He will inform them about what they used to do.
Be-shak jin logon ney apney deen ko juda juda ker diya aur giroh giroh bann gaye aap ka unn say koi talluq nahi bus unn ka moamla Allah Taalaa kay hawalay hai. Phir inn ko inn ka kiya hua jatla den gay.
जिन्होंने अपने दीन में राहें निकाल लीं और गिरोहों में बट गए आपका उनसे कुछ भी तअल्लुक़ नहीं, उनका मामला अल्लाह के हवाले है फिर वही उनको बता देगा जो वे करते थे।
Who took their religion as distraction and amusement and whom the worldly life deluded." So today We will forget them just as they forgot the meeting of this Day of theirs and for having rejected Our verses.
Jinhon ney apney deen ko khel tamasha bana rakha tha aur jin ko dunyawi zindagi dhokay mein daal rakha tha. So hum ( bhi ) aaj kay roz unn ka naam bhool jayengay jaisa kay woh iss din ko bhool gaye aur jaisa yeh humari aayaton ka inkar kertay thay.
वे जिन्होंने अपने दीन को खेल-तमाशा बना लिया था और जिनको दुनिया की ज़िंदगी ने धोखे में डाल रखा था, पस आज हम उनको भुला देंगे जिस तरह उन्होंने अपने इस दिन की मुलाक़ात को भुला दिया था और जैसा कि वे हमारी निशानियों का इनकार करते रहे।
[Or] of those who have divided their religion and become sects, every faction rejoicing in what it has.
Unn logon mein say jinhon ney apnay deen ko tukray tukray ker diya aur khud bhi giroh giroh hogaye her giroh uss cheez per jo uss kay pass hai magan hai.
उन लोगों में से जिन्होंने अपनी दीन (धर्म) को टुकड़े-टुकड़े कर डाला और गिरोहों में बँट गए। हर गिरोह के पास जो कुछ है, उसी में मग्न है