Say, "Is it other than Allah I should take as a protector, Creator of the heavens and the earth, while it is He who feeds and is not fed?" Say, [O Muhammad], "Indeed, I have been commanded to be the first [among you] who submit [to Allah ] and [was commanded], 'Do not ever be of the polytheists.' "
Aap kahiye kay kiya Allah kay siwa jo kay aasmanon aur zamin ka peda kerney wala hai aur jo kay khaney ko deta hai aur uss ko koi khaney ko nahi deta aur kissi ko mabood qarar doon aap farma dijiye kay mujh ko yeh hukum hua hai kay sab say pehlay mein islam qabool keroon aur tu mushrikeen mein say hergiz na hona.
कह दीजिए कि क्या में अल्लाह के सिवा किसी और को मददगार बनाऊँ जो बनाने वाला है आसमानों का और ज़मीन का और वह सबको खिलाता है और उसको नहीं खिलाया जा सकता, कहिए कि मुझको हुक्म मिला है कि मैं सबसे पहले इस्लाम लाने वाला बनूँ और तुम हरगिज़ मुशरिकों में से न बनो।
Their messengers said, "Can there be doubt about Allah , Creator of the heavens and earth? He invites you that He may forgive you of your sins, and He delays your death for a specified term." They said, "You are not but men like us who wish to avert us from what our fathers were worshipping. So bring us a clear authority."
Unn kay rasoolon ney unhen kaha kay kiya haq taalaa kay baray mein tumhen shak hai jo aasmano aur zamin ka bananey wala hai woh to tumhen iss liye bula raha hai kay tumharay tamam gunah moaf farma dey aur aik muqarrara waqt tak tumhen mohlat ata farmaye unhon ney kaha kay tum to hum jaisay hi insan ho tum chahatay ho kay humen unn khudaon ki ibadat say rok do jin ki ibadat humaray baap dada kertay rahey acha to humaray samney koi khulli daleel paish kero.
उनके पैग़म्बरों ने कहाः क्या अल्लाह के बारे में शक है जो आसमानों और ज़मीन को वजूद में लाने वाला है, वह तुमको बुला रहा है कि तुम्हारे गुनाहों को माफ़ कर दे और तुमको एक मुक़र्रर मुद्दत तक मोहलत दे, उन्होंने कहा कि तुम इसके सिवा कुछ नहीं कि हमारे जैसे ही एक आदमी हो, तुम चाहते हो कि हमको उन चीज़ों की इबादत से रोक दो जिनकी इबादत हमारे बाप-दादा करते थे, तुम हमारे सामने कोई खुली सनद ले आओ।
[All] praise is [due] to Allah , Creator of the heavens and the earth, [who] made the angels messengers having wings, two or three or four. He increases in creation what He wills. Indeed, Allah is over all things competent.
Uss Allah kay liye tamam tareefen sazawaar hain jo ( ibtida’an ) aasmano aur zamin ka peda kerney wala aur do do teen teen char char paron walay farsihton ko apna payghumber ( qasid ) bananey wala hai makhlooq mein jo chahaye ziyadti kerta hai Allah Taalaa yaqeenan her cheez per qadir hai.
सब प्रशंसा अल्लाह के लिए है, जो आकाशों और धरती का पैदा करने वाला है। दो-दो, तीन-तीन और चार-चार फ़रिश्तों को बाज़ुओं वाले सन्देशवाहक बनाकर नियुक्त करता है। वह संरचना में जैसी चाहता है, अभिवृद्धि करता है। निश्चय ही अल्लाह को हर चीज़ की सामर्थ्य प्राप्त है