Then, you are those [same ones who are] killing one another and evicting a party of your people from their homes, cooperating against them in sin and aggression. And if they come to you as captives, you ransom them, although their eviction was forbidden to you. So do you believe in part of the Scripture and disbelieve in part? Then what is the recompense for those who do that among you except disgrace in worldly life; and on the Day of Resurrection they will be sent back to the severest of punishment. And Allah is not unaware of what you do.
Lekin phir bhi tum ney aapas mein qatal kiya aur aapas kay aik firqay ko jila watan bhi kiya aur gunah aur ziyadti kay kaamon mein inn kay khilaf doosray ki taraf daari ki haan woh jab qaidi ho ker tumharay pass aaye to tum ney unn kay fidye diye lekin inn ka nikalna jo tum per haram tha ( uss ka kuch khayal na kiya ) kiya baaz ehkaam per eman rakhtay ho aur baaz kay sath kufur kertay ho? Tum mein say jo bhi aisa keray uss ki saza iss kay siwa kiya ho kay duniya mein ruswaee aur qayamat kay din sakht azab ki maar aur Allah Taalaa tumharay aemaal say bey khabar nahi.
फिर तुम ही वे लोग हो कि अपनों को क़त्ल करते हो और अपने ही एक गिरोह को उनकी बस्तियों से निकालते हो, तुम उनके मुक़ाबले में उनके दुश्मनों की मदद करते हो गुनाह और ज़ुल्म के साथ, फिर अगर वे तुम्हारे पास क़ैद होकर आते हैं तो तुम फ़िदया देकर उनको छुड़ाते हो; हालाँकि ख़ुद उनका निकालना तुम्हारे ऊपर हराम था, क्या तुम किताबे-इलाही के एक हिस्से को मानते हो और एक हिस्से का इनकार करते हो, पस तुम में से जो लोग ऐसा करें उनकी सज़ा इसके सिवा क्या है कि उनको दुनिया की ज़िंदगी में रुसवाई मिले, और क़यामत के दिन उनको सख़्त अज़ाब में डाल दिया जाए, और अल्लाह उस चीज़ से बेख़बर नहीं जो तुम कर रहे हो।
Have you not considered those who left their homes in many thousands, fearing death? Allah said to them, "Die"; then He restored them to life. And Allah is full of bounty to the people, but most of the people do not show gratitude.
Kiya tum ney unhen nahi dekha jo hazaron ki tadaad mein thay aur maut kay darr kay maaray apney gharon say nikal kharay huye thay Allah Taalaa ney unhen farmaya marr jao phir unhen zinda ker diya be-shak Allah Taalaa logon per bara fazal wala hai lekin aksar log na shukray hain.
क्या तुमने उन लोगों को नहीं देखा जो भाग खड़े हुए अपने घरों से मौत के डर से, हालाँकि वे हज़ारों की तादाद में थे, तो अल्लाह ने उनसे कहा कि मर जाओ, फिर उन्हें ज़िंदा किया, बेशक अल्लाह लोगों पर बड़ा ही फ़ज़्ल करने वाला है मगर बहुत सारे लोग शुक्र नहीं करते।
And their Lord responded to them, "Never will I allow to be lost the work of [any] worker among you, whether male or female; you are of one another. So those who emigrated or were evicted from their homes or were harmed in My cause or fought or were killed - I will surely remove from them their misdeeds, and I will surely admit them to gardens beneath which rivers flow as reward from Allah , and Allah has with Him the best reward."
Pus unn kay rab ney unn ki dua qabool farma li kay tum say kissi kaam kerney walay kay kaam ko khuwa woh mard ho ya aurat mein hergiz zaya nahi kerta tum aapas mein aik doosray kay hum jinss ho iss liye woh log jinhon ney hijrat ki aur apney gharon say nikal diye gaye aur jinhen meri raah mein izza di gaee aur jinhon ney jihad kiya aur shaheed kiye gaye mein zaroor zaroor unn ki buraiyan unn say door kerdoon ga aur bil yaqeen unhen unn jannaton mein ley jaon ga jin key neechay nehren beh rahi han yeh hai sawab Allah Talaa ki taraf say aur Allah Taalaa hi kay pass behtareen sawab hai.
पस उनके रब ने उनकी दुआ क़बूल फ़रमाई कि मैं तुम में से किसी का अमल ज़ाया करने वाला नहीं हूँ, चाहे वह मर्द हो या औरत, तुम सब एक-दूसरे से हो, पस जिन लोगों ने हिजरत की और जो अपने घरों से निकाले गए और मेरी राह में सताए गए और वे लड़े और मारे गए मैं उनकी ख़ताएं ज़रूर उन से दूर कर दूँगा और उनको ऐसे बाग़ात में दाख़िल करूंगा जिनके नीचे से नहरें बहती होंगी, यह उनका बदला है अल्लाह के यहाँ, और बेहतरीन बदला अल्लाह ही के पास है।