And if an evil suggestion comes to you from Satan, then seek refuge in Allah . Indeed, He is Hearing and Knowing.
Aur agar aap ko koi waswasa shetan ki taraf say aaney lagay to Allah ki panah maang liya kijiye bila shuba woh khoob sunnay wala khoob jannay wala hai.
और अगर आपको कोई वसवसा शैतान की तरफ़ से आए तो अल्लाह की पनाह माँगिए, बेशक वह सुनने वाला, जानने वाला है।
Indeed, those who fear Allah - when an impulse touches them from Satan, they remember [Him] and at once they have insight.
Yaqeenan jo log khud taras hain jab unn ko koi khatra shetan ki taraf say aajata hai to woh yaad mein lag jatay hain so yakayak unn ki aankhen khul jati hain.
जो लोग डर रखते हैं जब कभी शैतान के असर से कोई बुरा ख़्याल उन्हें छू जाता है तो वे फ़ौरन चौंक पड़ते हैं और फिर उसी वक़्त उनको सूझ आ जाती है।
But their brothers - the devils increase them in error; then they do not stop short.
Aur jo shetan kay tabey hain woh inn ko gumrahi mein kheenchay ley jatay hain pus woh baaz nahi aatay.
और जो शैतान के भाई हैं वे उनको गुमराही में खींचे चले जाते हैं फिर वे कमी नहीं करते।
And when you, [O Muhammad], do not bring them a sign, they say, "Why have you not contrived it?" Say, "I only follow what is revealed to me from my Lord. This [Qur'an] is enlightenment from your Lord and guidance and mercy for a people who believe."
Aur jab aap koi moajza inn kay samney zahir nahi kertay to woh log kehtay hain kay aap yeh moajza kiyon na laye? Aap farma dijiye! Kay mein uss ka ittabaa kerta hun jo mujh per meray rab ki taraf say hukum bheja gaya hai yeh goya bohr si daleelen hain tumharay rab ki taraf say aur hodayat aur rehmat hai unn logon kay liye jo eman rakhtay hain.
और जब आप उनके सामने (मुँह-माँगा) मोजिज़ा पेश नहीं करते तो ये कहते हैं कि तुमने यह मोजिज़ा ख़ुद अपनी पसंद से क्यों पेश न किया? कह दें कि मैं तो उसी बात की इत्तिबा करता हूँ जो मेरे रब की तरफ़ से वह्य के ज़रिए मुझ तक पहुँचाई जाती है, यह (क़ुरआन) तुम्हारे रब की तरफ़ से बसीरतों का मजमूआ है, और जो लोग ईमान लाएं उनके लिए हिदायत और रहमत है।
So when the Qur'an is recited, then listen to it and pay attention that you may receive mercy.
Aur jab quran parha jaya keray to iss ki taraf kaan laga diya kero aur khamosh raha kero umeed hai kay tum per rehmat ho.
और जब क़ुरआन पढ़ा जाए तो उसको तवज्जोह से सुनो और ख़ामोश रहो; ताकि तुम पर रहमत की जाए।
And remember your Lord within yourself in humility and in fear without being apparent in speech - in the mornings and the evenings. And do not be among the heedless.
Aur aey shaks! Apney rab ki yaad kiya ker apney dil mein aajzi kay sath aur khof kay sath aur zor ki aawaz ki nisbat kum aawaz kay sath subha aur shaam aur ehal-e-ghaflat mein say mat hona.
और अपने रब को सुबह व शाम याद करें अपने दिल में आजिज़ी और ख़ौफ़ के साथ और पस्त-आवाज़ से, और ग़ाफ़िलों में से न बनें।
Indeed, those who are near your Lord are not prevented by arrogance from His worship, and they exalt Him, and to Him they prostrate.
Yaqeenan jo teray rab kay nazdeek hain woh uss ki ibadat say takabbur nahi kertay aur uss ki paki biyan kertay hain aur uss ko sajda kertay hain.
जो (फ़रिश्ते) आपके रब के पास हैं वह उसकी इबादत से तकब्बुर नहीं करते और वे उसकी पाक ज़ात को याद करते हैं और उसी को सज्दा करते हैं।