Say, [O Muhammad], "I do not tell you that I have the depositories [containing the provision] of Allah or that I know the unseen, nor do I tell you that I am an angel. I only follow what is revealed to me." Say, "Is the blind equivalent to the seeing? Then will you not give thought?"
Aap keh dijiye kay na to mein tum say yeh kehta hun kay meray pass Allah kay khazaney hain aur na mein ghaib janta hun aur na mein tum say yeh kehta hun kay mein farishta hun. Mein to sirf jo kuch meray pass wahee aati hai uss ka ittabaa kerta hun aap kahiye kay andha aur beena kahin barabar ho sakta hai. So kiya tum ghor nahi kertay?
आप कह दें कि मैं तुम से यह नहीं कहता कि मेरे पास अल्लाह के ख़ज़ाने हैं और न मैं ग़ैब को जानता हूँ और न मैं तुमसे यह कहता हूँ कि मैं फ़रिश्ता हूँ, मैं तो बस उस वह्य की पैरवी करता हूँ जो मेरे पास आती है, आप कहिए कि क्या अंधा और आँखों वाला दोनों बराबर हो सकते हैं, क्या तुम ग़ौर नहीं करते?
And warn by the Qur'an those who fear that they will be gathered before their Lord - for them besides Him will be no protector and no intercessor - that they might become righteous.
Aur aisay logon ko daraiye jo iss baat say andesha rakhtay hain kay apney rab kay pass aisi halat mein jama kiye jayen gay kay jitney ghair Allah hain na koi unn ka madadgar hoga aur na koi shafi hoga iss umeed per kay woh darr jayen.
और आप इस वह्य के ज़रिए से डराइए उन लोगों को जो अंदेशा रखते हैं इस बात का कि वे अपने रब के पास जमा किए जाएंगे इस हाल में कि अल्लाह के सिवा न उनका कोई हिमायती होगा और न सिफ़ारिश करने वाला, शायद कि वे अल्लाह से डरें।
And do not send away those who call upon their Lord morning and afternoon, seeking His countenance. Not upon you is anything of their account and not upon them is anything of your account. So were you to send them away, you would [then] be of the wrongdoers.
Aur unn logon ko na nikaliye jo subha-o-shaam apney perwerdigar ki ibadat kertay hain khaas ussi ki raza ka qasad rakhtay hain. Unn ka hisab zara bhi aap kay mutalliq nahi aur aap ka hisab zara bhi unn kay mutalliq nahi kay aap unn ko nikal den. Werna aap zulm kerney walon mein say hojayen gay.
और आप उन लोगों को अपने से दूर न करें जो सुबह व शाम अपने रब को पुकारते हैं उसकी ख़ुशनूदी चाहते हुए, उनके हिसाब में से किसी चीज़ का बोझ आप पर नहीं और न आपके हिसाब में से किसी चीज़ का बोझ उन पर है कि आप उनको अपने से दूर करके नाइंसाफ़ी करने वालों में से हो जाएं।
And thus We have tried some of them through others that the disbelievers might say, "Is it these whom Allah has favored among us?" Is not Allah most knowing of those who are grateful?
Aur issi tarah say hum ney baaz ko baaz kay zariye say aazmaeesh mein daal rakha hai takay yeh log kaha keren kiya yeh log hain kay hum sab mein say inn per Allah Taalaa ney fazal kiya hai. Kiya yeh baat nahi hai kay Allah Taalaa shukar guzaron ko khoob janta hai.
और इस तरह हमने उनमें से एक को दूसरे से आज़माया है ताकि वे कहें कि क्या यही वे लोग हैं जिन पर हमारे दरमियान अल्लाह का फ़ज़्ल हुआ है, क्या अल्लाह शुक्रगुज़ारों से ख़ूब वाक़िफ़ नहीं?
And when those come to you who believe in Our verses, say, "Peace be upon you. Your Lord has decreed upon Himself mercy: that any of you who does wrong out of ignorance and then repents after that and corrects himself - indeed, He is Forgiving and Merciful."
Aur yeh log jab aap kay pass ayen jo humari aayaton per eman rakhtay hain to ( yun ) keh dijiye kay tum per salamti hai tumharay rab ney meharbani farmana apney zimmay muqarrar ker liya hai kay jo shaks tum mein say bura kaam ker bethay jahalat say phir woh iss kay baad tauba ker ley aur islah rakhay to Allah ( ki shaan hai kay woh ) bari maghfirat kerney wala aur bari rehmat wala hai.
और जब आपके पास वे लोग आएं जो हमारी आयात पर ईमान लाए हैं तो उनसे कहिए कि तुम पर सलामती हो, तुम्हारे रब ने अपने ऊपर रहमत लिख ली है, बेशक तुम में जो कोई नादानी से कोई बुराई कर बैठे फिर उसके बाद वे तौबा करे और इस्लाह कर ले तो वह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
And thus do We detail the verses, and [thus] the way of the criminals will become evident.
Issi tarah hum aayaat ki tafseel kertay rehtay hain aur takay mujrimeen ka tareeqa zahir hojaye.
और इस तरह हम अपनी निशानियाँ खोल कर बयान करते हैं और ताकि मुजरिमों का तरीक़ा ज़ाहिर हो जाए।
Say, "Indeed, I have been forbidden to worship those you invoke besides Allah ." Say, "I will not follow your desires, for I would then have gone astray, and I would not be of the [rightly] guided."
Aap keh dijiye kay mujh ko iss say moomaniyat ki gaee hai kay unn ki ibadat keroon jin ko tum log Allah Taalaa ko chor ker pukartay ho. Aap keh dijiye kay mein tumhari khuwaishaat ki ittabaa na keroon kiyon kay iss halat mein to mein bey raah hojaoon ga aur raah-e-raast per chalney walon mei na rahoon ga.
(ऐ नबी) आप कह दीजिए कि मुझे इससे रोका गया है कि मैं उनकी इबादत करूँ जिनको तुम अल्लाह के सिवा पुकारते हो, आप कह दें कि मैं तुम्हारी ख़्वाहिशों की पैरवी नहीं कर सकता, अगर मैं ऐसा करूँ तो मैं राह से भटक जाऊँगा और मैं राह पाने वालों में से न रहूँगा।
Say, "Indeed, I am on clear evidence from my Lord, and you have denied it. I do not have that for which you are impatient. The decision is only for Allah . He relates the truth, and He is the best of deciders."
Aap keh dijiye kay meray pass to aik daleel hai meray rab ki taraf say aur tum iss ki takzeeb kertay ho jiss cheez ki tum jald baazi ker rahey ho woh meray pass nahi. Hukum kissi ka nahi ba-juz Allah Taalaa kay Allah Taalaa waqaee baat ko batla deta hai aur sab say acha faisla kerney wala wohi hai.
कह दीजिए कि मैं अपने रब की तरफ़ से एक रौशन दलील पर हूँ और तुमने उसको झुठलाया है, वह चीज़ मेरे पास नहीं है जिसके लिए तुम जल्दी कर रहे हो, फ़ैसला का इख़्तियार सिर्फ़ अल्लाह ही को है, वही हक़ को बयान करता है और वह बेहतरीन फ़ैसला करने वाला है।
Say, "If I had that for which you are impatient, the matter would have been decided between me and you, but Allah is most knowing of the wrongdoers."
Aap keh dijiye kay agar meray pass woh cheez hoti jiss ka tum taqaza ker rahey ho to mera aur tumhara bahumi qissa-e-faisal ho chuka hota aur zalimon ko Allah Taalaa khoob janta hai.
कह दीजिए कि अगर वह चीज़ मेरे पास होती जिसके लिए तुम जल्दी कर रहे हो तो मेरे और तुम्हारे दरमियान मामले का फ़ैसला हो चुका होता, और अल्लाह ख़ूब जानता है ज़ालिमों को।
And with Him are the keys of the unseen; none knows them except Him. And He knows what is on the land and in the sea. Not a leaf falls but that He knows it. And no grain is there within the darknesses of the earth and no moist or dry [thing] but that it is [written] in a clear record.
Aur Allah Taalaa hi kay pass hain ghaib ki kunjiyan ( khazaney ) inn ko koi nahi janta ba-juz Allah kay. Aur woh tamam cheezon ko janta hai jo kuch khushki mein hain aur jo kuch daryaon mein hain aur koi patta nahi girta magar woh iss ko bhi janta hai aur koi dana zamin kay tareek hisson mein nahi parta aur na koi tarr aur na koi khush cheez girti hai magar yeh sab kitab-e-mubeen mein hain.
और उसी के पास ग़ैब की कुंजियाँ हैं जिसे उसके सिवा कोई नहीं जानता, अल्लाह जानता है जो कुछ ख़ुश्की में और समुंदर में है, और दरख़्त से गिरने वाला कोई पत्ता ऐसा नहीं जिसका उसे इल्म न हो और ज़मीन की तारीकियों में कोई दाना नहीं गिरता और न कोई तर और ख़ुश्क चीज़ मगर सब एक खुली किताब में दर्ज है।
And it is He who takes your souls by night and knows what you have committed by day. Then He revives you therein that a specified term may be fulfilled. Then to Him will be your return; then He will inform you about what you used to do.
Aur woh aisa hai kay raat mein tumhari rooh ko ( aik gona ) qabz ker deta hai aur jo kuch tum din mein kertay ho uss ko janta hai phir tum ko jaga uthata hai takay miyaad-e-moyyen tamam ker di jaye phir ussi ki taraf tum ko jana hai phir tum ko batlaye ga jo kuch tum kiya kertay thay.
और वही है जो रात में तुमको वफ़ात देता है और दिन को जो कुछ तुम करते हो उसको जानता है फिर तुमको उठा देता है उसमें ताकि मुक़र्ररह मुद्दत पूरी हो जाए, फिर उसी की तरफ़ तुम्हारी वापसी है फिर वह तुमको बाख़बर कर देगा उससे जो तुम करते रहे हो।
And He is the subjugator over His servants, and He sends over you guardian-angels until, when death comes to one of you, Our messengers take him, and they do not fail [in their duties].
Aur wohi apney bandon kay upper ghalib hai bar tar hai aur tum per nigehdaasht rakhney wala bhejta hai yahan tak kay jab tum mein say kissi ko maut aa phonchti hai uss ki rooh humaray bhejay huye farishtay qabz ker letay hain aur woh zara kotahi nahi kertay.
और वह ग़ालिब है अपने बंदों पर और वे तुम्हारे ऊपर निगराँ भेजता है, यहाँ तक कि जब तुम में से किसी की मौत का वक़्त आ जाता है तो हमारे भेजे हुए फ़रिश्ते उसकी रूह को क़ब्ज़ कर लेते हैं और वे कोताही नहीं करते।
Then they His servants are returned to Allah , their true Lord. Unquestionably, His is the judgement, and He is the swiftest of accountants.
Phir sab apney maalik-e-haqeeqi kay pass laye jayen gay. Khoob sunn lo faisla Allah hi ka hoga aur woh boht jald hisab ley ga.
फिर सब अपने हक़ीक़ी मालिक की तरफ़ वापस लाए जाएंगे, सुन लो! हुक्म उसी का है और वह बहुत जल्द हिसाब लेने वाला है।
Say, "Who rescues you from the darknesses of the land and sea [when] you call upon Him imploring [aloud] and privately, 'If He should save us from this [crisis], we will surely be among the thankful.' "
Aap kahiye kay woh kaun hai jo tum ko khushki aur darya ki zulmat say nijat deta hai. Tum uss ko pukartay ho girr girra ker aur chupkay chupkay kay agar tu hum ko inn say nijat dey dey to hum zaroor shukar kerney walon mein say ho jayen gay.
आप कह दीजिए कि कौन तुमको नजात देता है ख़ुश्की और समुंदर की तारीकियों से जबकि तुम उसको पुकारते हो आजिज़ी से और चुपके-चुपके कि अगर अल्लाह ने हमको नजात दे दी इस मुसीबत से तो हम उसके शुक्रगुज़ार बंदों में से हो जाएंगे।
Say, "It is Allah who saves you from it and from every distress; then you [still] associate others with Him."
Aap keh dijiye kay Allah hi tum ko inn say nijat deta hai aur her ghum say tum phir bhi shirk kerney lagtay ho.
कह दीजिए कि अल्लाह ही तुमको नजात देता है इससे और हर तकलीफ़ से फिर भी तुम शिर्क करने लगते हो।
Say, "He is the [one] Able to send upon you affliction from above you or from beneath your feet or to confuse you [so you become] sects and make you taste the violence of one another." Look how We diversify the signs that they might understand.
Aap kahiye kay iss per bhi wohi qadir hai kay tum per koi azab tumharay upper say bhej dey ya tumharay paon talay say ya kay tum ko giroh giroh ker kay sab ko bhira dey aur tumharay aik doosray ki laraee chakha dey. Aap dekhiye to sahi hum kiss tarah dalaeel mukhtalif pehloo’on say biyan kertay hain shayad woh samajh jayen.
कह दें कि अल्लाह क़ादिर है इस पर कि तुम पर कोई अज़ाब भेज दे तुम्हारे ऊपर से या तुम्हारे पैरों के नीचे से या तुमको गिरोहों में तक़सीम करके आपस में भिड़ा दे और एक को दूसरे की ताक़त का मज़ा चखा दे, देखो हम किस तरह दलीलों को मुख़्तलिफ़ पहलुओं से बयान करते हैं ताकि वे समझें।
But your people have denied it while it is the truth. Say, "I am not over you a manager."
Aur aap ki qom iss ki takzeeb kerti hai halankay woh yaqeeni hai. Aap keh dijiye kay mein tum per taaeenaat nahi kiya gaya hun.
और आपकी क़ौम ने उसको झुठला दिया है हालाँकि वह हक़ है, आप कह दें कि मैं तुम्हारे ऊपर दारोग़ा नहीं हूँ।
For every happening is a finality; and you are going to know.
Her khabar ( kay waqoo ) ka aik waqt hai aur jald hi tum ko maloom hojaye ga.
हर ख़बर के लिए एक वक़्त मुक़र्रर है और तुम जल्द ही जान लोगे।
And when you see those who engage in [offensive] discourse concerning Our verses, then turn away from them until they enter into another conversation. And if Satan should cause you to forget, then do not remain after the reminder with the wrongdoing people.
Aur jab aap unn logon ko dekhen jo humari aayaat mein aib joee ker rahey hain to inn logon say kinara kash hojayen yahan tak kay woh kissi aur baat mein lagg jayen aur agar aap ko shetan bhula dey to yaad aaney kay baad phir aisay zalim logon kay sath mat bethen.
और जब आप उन लोगों को देखो जो हमारी आयतों में ऐब निकालते हैं तो उनसे अलग हो जाइए यहाँ तक कि वे किसी और बात में लग जाएं, और अगर कभी शैतान आपको भुला दे तो याद आने के बाद ऐसे नाइंसाफ़ लोगों के पास न बैठिए।
And those who fear Allah are not held accountable for the disbelievers at all, but [only for] a reminder - that perhaps they will fear Him.
Aur jo log perhezgar hain unn per inn ki baaz purs ka koi asar na phonchay ga aur lekin inn kay zimmay naseehat ker dena hai shayad woh bhi taqwa ikhtiyar keren.
और जो लोग अल्लाह से डरते हैं उन पर उनके हिसाब में से किसी चीज़ की ज़िम्मेदारी नहीं, अलबत्ता याद दिलाना है शायद कि वे भी डरें।
And leave those who take their religion as amusement and diversion and whom the worldly life has deluded. But remind with the Qur'an, lest a soul be given up to destruction for what it earned; it will have other than Allah no protector and no intercessor. And if it should offer every compensation, it would not be taken from it. Those are the ones who are given to destruction for what they have earned. For them will be a drink of scalding water and a painful punishment because they used to disbelieve.
Aur aisay logon say bilkul kinara kash rahen jinhon ney apney deen ko khel tamasha bana rakha hai aur dunyawi zindagi ney unhen dhokay mein daal rakha hai aur iss quran kay zariye say naseehat bhi kertay rahen takay koi shaks apney kirdaar kay sabab ( iss tarah ) na phans jaye kay koi ghair Allah uss ka na madagar ho aur na sifarshi aur yeh keyfiyar ho kay agar duniya bhar ka maawza bhi dey daalay tab bhi uss say na liya jaye. Aisay hi hain kay apney kirdaar kay sabab phans gaye unn kay liye nihayat tez garam pani peeney kay liye hoga aur dard naak saza hogi apney kufur kay sabab.
और उन लोगों को छोड़ दीजिए जिन्होंने अपने दीन को खेल-तमाशा बना रखा है और जिनको दुनिया की ज़िंदगी ने धोके में डाल रखा है, और क़ुरआन के ज़रिए नसीहत करते रहिए ताकि कोई शख़्स अपने किए में गिरफ़्तार न हो जाए; इस हाल में कि अल्लाह से बचाने वाला कोई मददगार और सिफ़ारशी उसके लिए न हो, और अगर वह दुनिया भर का मुआवज़ा भी दे दे तब भी उससे क़बूल न किया जाए, यही लोग हैं जो अपने किए में गिरफ़्तार हो गए, उनके पीने के लिए खौलता हुआ पानी होगा और दर्दनाक सज़ा होगी इसलिए कि वे कुफ़्र करते थे।
Say, "Shall we invoke instead of Allah that which neither benefits us nor harms us and be turned back on our heels after Allah has guided us? [We would then be] like one whom the devils enticed [to wander] upon the earth confused, [while] he has companions inviting him to guidance, [calling], 'Come to us.' " Say, "Indeed, the guidance of Allah is the [only] guidance; and we have been commanded to submit to the Lord of the worlds.
Aap keh dijiye kay kiya hum Allah Taalaa kay siwa aisi cheez ko pukaren kay na woh hum ko nafa phonchaye aur na hum ko nuksan phonchaye aur kiya hum ultay phir jayen iss kay baad kay hum ko Allah Taalaa ney hidayat ker di hai jaisay koi shaks ho kay uss ko shetanon ney kahin jangal mein bey raah ker diya ho aur woh bhatakta phirta ho uss kay kuch sathi bhi hon kay woh uss ko theek raastay ki taraf bula rahey hon kay humaray pass aa. Aap keh dijiye kay yaqeeni baat hai kay raah-e-raast woh khaas Allah hi ki raah hai aur hum ko yeh hukum hua hai kay hum perwerdigar-e-aalam kay pooray mootee hojayen.
(ऐ नबी) आप कहिए कि क्या हम अल्लाह को छोड़ कर उनको पुकारें जो हमको न नफ़ा दे सकते हैं और न हमको नुक़सान पहुँचा सकते हैं और क्या हम उल्टे पाँव फिर जाएं बाद इसके कि अल्लाह हमको सीधा रास्ता दिखा चुका है, उस शख़्स के मानिंद जिसको शैतानों ने बयाबान में भटका दिया हो और वह हैरान फिर रहा हो, उसके साथी उसको सीधे रास्ते की तरफ़ बुला रहे हों कि हमारे पास आ जाओ, आप कह दीजिए कि रहनुमाई तो सिर्फ़ अल्लाह की रहनुमाई है और हमको हुक्म मिला है कि हम अपने आपको तमाम जहानों के परवरदिगार के हवाले कर दें।
And to establish prayer and fear Him." And it is He to whom you will be gathered.
Aur yeh kay namaz ki pabandi kero aur iss say daro aur wohi hai jiss kay pass tum jama kiye jao gay.
और यह कि नमाज़ क़ायम करो और अल्लाह से डरो, और वही है जिसकी तरफ़ तुम समेटे जाओगे।
And it is He who created the heavens and earth in truth. And the day He says, "Be," and it is, His word is the truth. And His is the dominion [on] the Day the Horn is blown. [He is] Knower of the unseen and the witnessed; and He is the Wise, the Acquainted.
Aur wohi hai jiss ney aasmanon aur zamin ko bar haq peda kiya aur jiss waqt Allah Taalaa itna keh dey ga tu ho ja bus woh ho paray ga. Uss ka kehna haq aur ba-asar hai. Aur sari hakoomat khaas ussi ki hogi jab kay soor mein phoonk maari jayegi woh jannay wala hai posheeda cheezon ka aur zahir cheezon ka aur wohi hai bari hikmat wala poori khabar rakhney wala.
और वही है जिसने आसमानों और ज़मीन को हक़ के साथ पैदा किया है और जिस दिन वह कहेगा कि हो जा तो वह हो जाएगा, उसकी बात हक़ है और उसी की हुकूमत होगी उस रोज़ जब सूर फूँका जाएगा, वह छुपी हुई और खुली हुई बातों का जानने वाला और हिकमत वाला, ख़बर रखने वाला है।
And [mention, O Muhammad], when Abraham said to his father Azar, "Do you take idols as deities? Indeed, I see you and your people to be in manifest error."
Aur woh waqt bhi yaad kerney kay qabil hai jab ibrahim ( alh-e-salam ) ney apney baap aazar say farmaya kay kiya tu button ko mabood qarar deta hai? Be-shak mein tujh ko aur teri sari qom ko sareeh gumrahi mein dekhta hun.
और जब इब्राहीम (अलै॰) ने अपने बाप आज़र से कहा कि क्या तुम बुतों को ख़ुदा मानते हो? मैं तुमको और तुम्हारी क़ौम को खुली हुई गुमराही में देखता हूँ।
And thus did We show Abraham the realm of the heavens and the earth that he would be among the certain [in faith]
Aur hum ney aisay hi tor per ibrahim ( alh-e-salam ) ko aasmanon aur zamin ki makhlooqaat dikhlaeen aur takay kaamil yaqeen kerney walon say hojayen.
और इसी तरह हमने इब्राहीम (अलै॰) को दिखा दी आसमानों और ज़मीन की हुकूमत और ताकि वे यक़ीन करने वालों में से बन जाएं।
So when the night covered him [with darkness], he saw a star. He said, "This is my lord." But when it set, he said, "I like not those that disappear."
Phir jab raat ki tareeki unn per cha gaee to unhon ney aik sitara dekha aap ney farmaya kay yeh mera rab hai magar jab woh ghuroob hogaya to aap ney farmaya kay mein ghuroob ho janey walon say mohabbat nahi rakhta.
फिर जब रात ने उन पर अंधेरा कर दिया तो उन्होंने एक तारे को देखा, कहा कि यह मेरा रब है, फिर जब वह डूब गया तो उन्होंने कहा कि मैं डूब जाने वालों को दोस्त नहीं रखता।
And when he saw the moon rising, he said, "This is my lord." But when it set, he said, "Unless my Lord guides me, I will surely be among the people gone astray."
Phir jab chand ko dekha chamakta hua to farmaya kay yeh mera rab hai lekin jab woh ghuroob hogaya to aap ney farmaya kay agar mujh ko meray rab ney hidayat na ki to mein gumrah logon mein shamil ho jaon ga.
फिर जब उन्होंने चाँद को चमकते हुए देखा तो कहा कि यह मेरा रब है, फिर जब वह डूब गया तो कहने लगे कि अगर मेरा रब मुझे हिदायत न दे तो मैं ज़रूर गुमराह लोगों में से हो जाऊँगा।
And when he saw the sun rising, he said, "This is my lord; this is greater." But when it set, he said, "O my people, indeed I am free from what you associate with Allah .
Phir jab aftab ko dekha chamakta hua to farmaya kay yeh mera rab hai yeh to sab say bara hai phir jab woh bhi ghuroob hogaya to aap ney farmaya be-shak mein tumharay shirk say bey zaar hun.
फिर जब सूरज को चमकते हुए देखा तो कहा कि यह मेरा रब है यह सबसे बड़ा है, फिर जब वह भी डूब गया तो उन्होंने कहा कि ऐ मेरी क़ौम! मैं उस शिर्क से दूर हूँ जो तुम करते हो।
Indeed, I have turned my face toward He who created the heavens and the earth, inclining toward truth, and I am not of those who associate others with Allah ."
Mein apna rukh uss ki taraf kerta hun jiss ney aasman-o-zamin ko peda kiya yaksoo hoker aur mein shirk kerney walon mein say nahi hun.
मैंने तो अपना रुख़ यकसू होकर उसकी तरफ़ कर लिया जिसने आसमानों और ज़मीन को पैदा किया है और मैं शिर्क करने वालों में से नहीं हूँ।
And his people argued with him. He said, "Do you argue with me concerning Allah while He has guided me? And I fear not what you associate with Him [and will not be harmed] unless my Lord should will something. My Lord encompasses all things in knowledge; then will you not remember?
Aur unn say unn ki qom ney hujjat kerna shuroo kiya aap ney farmaya kiya tum Allah kay moamlay mein mujh say hujjat kertay ho halankay uss ney mujhay tareeqa batla diya hai aur mein unn cheezon say jin ko tum Allah kay sath shareek banatay ho nahi darta haan agar mera perwerdigar hi koi amar chahaye mera perwerdigar her cheez ko apney ilm mein gheray huye hai kiya tum phir bhi khayal nahi kertay.
और उनकी क़ौम उनसे झगड़ने लगी, उन्होंने कहाः क्या तुम अल्लाह के मामले में मुझसे झगड़ते हो हालाँकि उसने मुझे राह दिखा दी, और मैं उनसे नहीं डरता जिनको तुम अल्लाह का शरीक ठहराते हो मगर यह कि कोई बात मेरा रब ही चाहे, मेरे रब का इल्म हर चीज़ पर छाया हुआ है, क्या तुम नहीं सोचते।
And how should I fear what you associate while you do not fear that you have associated with Allah that for which He has not sent down to you any authority? So which of the two parties has more right to security, if you should know?
Aur mein inn cheezon say kaisay darron jin ko tum ney shareek banaya hai halankay tum iss baat say nahi dartay kay tum ney Allah kay sath aisi cheezon ko shareek thehraya hai jin per Allah Taalaa ney koi daleel nazil nahi farmaee so inn do jamaton mein say aman ka ziyada mustahiq kaun hai agar tum khabar rakhtay ho.
और मैं क्योंकर डरूँ तुम्हारे शरीकों से जबकि तुम अल्लाह के साथ उन चीज़ों को ख़ुदाई में शरीक ठहराते हुए नहीं डरते जिनके लिए उसने तुम पर कोई दलील नहीं उतारी, अब दोनों गिरोहों में से अमन का ज़्यादा मुस्तहिक़ कौन है (बताओ) अगर तुम सच्चे हो।
They who believe and do not mix their belief with injustice - those will have security, and they are [rightly] guided.
Jo log eman rakhtay hain aur apney eman ko shirk kay sath makhloot nahi kertay aison hi kay liye aman hai aur wohi raah-e-raast per chal rahey hain.
जो लोग ईमान लाए और नहीं मिलाया अपने ईमान में कोई नुक़सान उन्हीं के लिए अमन है और वही सीधी राह पर हैं।
And that was Our [conclusive] argument which We gave Abraham against his people. We raise by degrees whom We will. Indeed, your Lord is Wise and Knowing.
Aur yeh humari hujjat thi woh hum ney ibrahim ( alh-e-salam ) ko unn ki qom kay muqablay mein di thi hum jiss ko chahatay hain martabon mein barha detay hain. Be-shak aap ka rab bara hikmat wala bara ilm wala hai.
यह है हमारी दलील जो हमने इब्राहीम को उनकी क़ौम के मुक़ाबले में दी, हम जिसके दर्जे चाहते हैं बुलंद कर देते हैं, बेशक आप का रब हिकमत वाला, इल्म वाला है।
And We gave to Abraham, Isaac and Jacob - all [of them] We guided. And Noah, We guided before; and among his descendants, David and Solomon and Job and Joseph and Moses and Aaron. Thus do We reward the doers of good.
6.84. Aur hum ney unn ko ishaq diya aur yaqoob her aik ko hum ney hidayat ki aur pehlay zamney mein hum ney nooh ko hidayat ki aur unn ki aulad mein say dawood ko aur suleman ko aur ayub ko aur yousuf ko aur musa ko aur haroon ko aur issi tarah hum nek kaam kerney walon ko jaza diya kertay hain.
और हमने इब्राहीम (अलै॰) को इसहाक़ और याक़ूब (अलैहिमस्सलाम) अता किए, हर एक को हमने हिदायत दी और नूह (अलै॰) को भी हमने हिदायत दी उससे पहले, और उसकी नस्ल में से दाऊद और सुलेमान और अय्यूब और यूसुफ़ और मूसा और हारून (अलैहिमुस्सलाम) को भी, और हम नेकूकारों को इसी तरह बदला देते हैं।
And Zechariah and John and Jesus and Elias - and all were of the righteous.
Aur ( naiz ) zakriya ko aur yahya ko aur essa ko aur ilyas ko sab nek logon mein say thay.
और ज़करिया और यहया और ईसा और इलियास (अलैहिमुस्सलाम) को भी, उनमें से हर एक नेक था।
And Ishmael and Elisha and Jonah and Lot - and all [of them] We preferred over the worlds.
Aur naiz ismail ko yasaa ko aur younus ko aur loot ko aur her aik ko tamam jahaan walon per hum ney fazeelat di.
और इस्माईल और अल-यसअ और यूनुस और लूत (अलैहिमुस्सलाम) को भी, और उनमें से हर एक को हमने दुनिया वालों पर फ़ज़ीलत अता की।
And [some] among their fathers and their descendants and their brothers - and We chose them and We guided them to a straight path.
Aur naiz inn kay kuch baap dadon ko aur kuch aulad ko aur kuch bhaiyon ko aur hum ney unn ko maqbool banaya aur hum ney unn ko raah-e-raast ki hidayat ki.
और उनके बाप-दादों और उनकी औलाद और उनके भाइयों में से भी, और उनको हमने चुन लिया और हमने सीधे रास्ते की तरफ़ उनकी रहनुमाई की।
That is the guidance of Allah by which He guides whomever He wills of His servants. But if they had associated others with Allah , then worthless for them would be whatever they were doing.
Allah ki hidayat hi hai jiss kay zariye apney bandon mein say jiss ko chahaye uss ko hidayat kerta hai aur agar farzan yeh hazraat bhi shirk kertay to jo kuch yeh aemaal kertay thay woh sab ikaarat ho jatay.
यह अल्लाह की हिदायत है जिससे वह रहनुमाई करता है अपने बंदों में से जिसकी चाहता है, और अगर वे शिर्क करते तो ज़ाया हो जाता जो कुछ उन्होंने किया था।
Those are the ones to whom We gave the Scripture and authority and prophethood. But if the disbelievers deny it, then We have entrusted it to a people who are not therein disbelievers.
Yeh log aisay thay kay hum ney unn ko kitab aur hikmat aur naboowat ata ki thi so agar yeh log naboowat ka inkar keren to hum ney iss kay liye aisay boht say log muqarrar ker diye hain jo iss kay munkir nahi hain.
ये वे लोग हैं जिनको हमने किताब और हिकमत और नुबुव्वत अता की, पस अगर ये (मक्का वाले) इसका इनकार कर दें तो हमने उसके लिए ऐसे लोग मुक़र्रर कर दिए हैं जो उसके मुनकिर नहीं हैं।
Those are the ones whom Allah has guided, so from their guidance take an example. Say, "I ask of you for this message no payment. It is not but a reminder for the worlds."
Yehi log aisay thay jin ko Allah Taalaa ney hidayat ki thi so aap bhi inn hi kay tareeq per chaliye aap keh dijiye kay mein tum say iss per koi maawza nahi chahata yeh to sirf tamam jahaan walon kay wastay aik naseehat hai.
यही वे लोग हैं जिनको अल्लाह नेक हिदायत बख़्शी पस आप भी उनके तरीक़े पर चलें, कह दीजिए कि मैं इस पर तुम से कोई मुआवज़ा नहीं माँगता, यह तो बस एक नसीहत है दुनिया वालों के लिए।
And they did not appraise Allah with true appraisal when they said, " Allah did not reveal to a human being anything." Say, "Who revealed the Scripture that Moses brought as light and guidance to the people? You [Jews] make it into pages, disclosing [some of] it and concealing much. And you were taught that which you knew not - neither you nor your fathers." Say, " Allah [revealed it]." Then leave them in their [empty] discourse, amusing themselves.
Aur inn logon ney Allah ki jaisi qadar kerna wajib thi wesi qadar na ki jab kay yun keh diya kay Allah ney kiss bashar per koi cheez nazil nahi ki aap yeh kahiye kay woh kitab kiss ney nazil ki hai jiss ko musa laye thay jiss ki keyfiyat yeh hai kay woh noor hai aur logon kay liye woh hidayat hai jiss ko tum ney inn mutafarriq oraaq mein rakh chora hai jin ko zahir kertay ho aur boht si baaton ko chupatay ho aur tum ko boht si aisi baaten bataee gaee hain jin ko na tum jantay thay aur na tumharay baray. Aap keh dijiye kay Allah ney nazil farmaya hai phir inn ko inn kay kharafaat mein kheltay rehney dijiye.
और उन्होंने अल्लाह के बारे में बहुत ग़लत अंदाज़ा लगाया जब उन्होंने कहा कि अल्लाह ने किसी इंसान पर कोई चीज़ नहीं उतारी, आप कह दीजिए कि वह किताब किसने उतारी थी जिसको लेकर मूसा आए थे जो रौशन थी और रहनुमाई (का ज़रिया) थी लोगों के वास्ते, जिसको तुमने वर्क़-वर्क़ कर रखा है उनमें से कुछ को ज़ाहिर करते हो और बहुत कुछ छुपा जाते हो, और तुमको वे बातें सिखाई गईं जिनको न तुम जानते थे और न तुम्हारे बाप-दादा, कह दीजिए कि अल्लाह ने उतारी, फिर उनको उनके हाल पर छोड़ दीजिए कि वे अपनी बेहूदा गुफ़्तगू में मशग़ूल रह कर दिल्लगी करते हैं।
And this is a Book which We have sent down, blessed and confirming what was before it, that you may warn the Mother of Cities and those around it. Those who believe in the Hereafter believe in it, and they are maintaining their prayers.
Aur yeh bhi aisi hi kitab hai jiss ko hum ney nazil kiya hai jo bari barkat wali hai apney say pehlay kitabon ki tasdeeq kerney wali hai aur takay aap makkay walon ko aur aas pass walon ko darayen. Aur jo log aakhirat ka yaqeen rakhtay hain aisay log iss per eman ley aatay hain aur woh apni namaz per madawmat rakhtay hain.
और यह एक किताब है जो हमने उतारी है बरकत वाली, तस्दीक़ करने वाली उनकी जो इससे पहले हैं और ताकि आप डराएं मक्का वालों को और उसके आसपास वालों को, और जो आख़िरत पर यक़ीन रखते हैं वही उस पर ईमान लाएंगे और वे अपनी नमाज़ की पाबंदी करने वाले हैं।
And who is more unjust than one who invents a lie about Allah or says, "It has been inspired to me," while nothing has been inspired to him, and one who says, "I will reveal [something] like what Allah revealed." And if you could but see when the wrongdoers are in the overwhelming pangs of death while the angels extend their hands, [saying], "Discharge your souls! Today you will be awarded the punishment of [extreme] humiliation for what you used to say against Allah other than the truth and [that] you were, toward His verses, being arrogant."
Aur uss shaks say ziyada kaun zalim hoga jo Allah Taalaa per jhoot tohmar lagaye ya yun kahey kay mujh per wahee aati hai halankay uss kay pass kissi baat ki bhi wahee nahi aaee aur jo shaks yun kahey kay jaisa kalaam Allah ney nazil kiya hai ussi tarah ka mein bhi laata hun aur agar aap uss waqt dekhen jabkay yeh zalim log maut ko sakhtiyon mein hongay aur farishtay apney haath barha rahey hongay kay haan apni jaanen nikal lo. Aaj tum ko zillat ki saza di jaye gi iss sabab say kay tum Allah Taalaa kay zimmay jhooti baaten lagatay thay aur tum Allah Taalaa ki aayaat say takabbur kertay thay.
और उससे बढ़कर कौन ज़ालिम होगा जो अल्लाह पर झूठी तोहमत बाँधे या कहे कि मुझ पर वह्य उतरी है; हालाँकि उस पर कोई वह्य नाज़िल न की गई हो, और कहे कि जैसा कलाम अल्लाह ने उतारा है मैं भी उतारूँगा, और अगर आप वह वक़्त देखो जबकि ये ज़ालिम मौत की सख़्तियों में होंगे और फ़रिश्ते हाथ बढ़ा रहे होंगे कि लाओ अपनी जानें निकालो, आज तुमको ज़िल्लत का अज़ाब दिया जाएगा इस वजह से कि तुम अल्लाह के बारे में झूठी बातें कहते थे और तुम अल्लाह की निशानियों से तकब्बुर किया करते थे।
[It will be said to them], "And you have certainly come to Us alone as We created you the first time, and you have left whatever We bestowed upon you behind you. And We do not see with you your 'intercessors' which you claimed that they were among you associates [of Allah ]. It has [all] been severed between you, and lost from you is what you used to claim."
Aur tum humaray pass tanha tanha aagaye jiss tarah hum ney awwal baar tum ko peda kiya tha aur jo kuch hum ney tum ko diya tha uss ko apney peechay hi chor aaye aur hum to tumharay humrah tumharay inn shafaat kerney walon ko nahi dekhtay jin ki nisbat tum dawa rakhtay thay kay woh tumharay moamlay mein shareek hain. Waqaee tumharay aapas mein to qata talluq hogaya aur woh tumhara sab tum say gaya guzra hua.
और तुम हमारे पास अकेले-अकेले आ गए जैसा कि हमने तुमको पहली मर्तबा पैदा किया था और जो कुछ असबाब हमने तुमको दिए थे सब कुछ तुम पीछे छोड़ आए, और हम तुम्हारे साथ सिफ़ारिश करने वालों को भी नहीं देखते जिनके मुतअल्लिक़ तुम समझते थे कि तुम्हारा काम बनाने में उनका भी हिस्सा है, यक़ीनन (उन से) तुम्हारा रिश्ता टूट गया है और तुम से जाते रहे वे दावे जो तुम किया करते थे।
Indeed, Allah is the cleaver of grain and date seeds. He brings the living out of the dead and brings the dead out of the living. That is Allah ; so how are you deluded?
Be-shak Allah Taalaa daaney ko aur guthliyon ko phaarney wala hai woh jaandaar ko bey jaan say nikal laata hai aur woh bey jaan ko jaandaar say nikalney wala hai Allah Taalaa yeh hai so tum kahan ultay chalay jarahey ho.
बेशक अल्लाह दाने और गुठली को फाड़ने वाला है, वह जानदार को बेजान से निकालता है और वही बेजान को जानदार से निकालने वाला है, वही तुम्हारा अल्लाह है फिर तुम किधर बहके चले जा रहे हो?
[He is] the cleaver of daybreak and has made the night for rest and the sun and moon for calculation. That is the determination of the Exalted in Might, the Knowing.
Woh subha ka nikalney wala hai aur uss ney raat ko rahat ki cheez banaya hai aur sooraj aur chand ko hisab say rakha hai. Yeh thehraee baat hai aisi zaat ki jo kay qadir hai baray ilm wala hai.
वही निकालने वाला है सुबह का और उसने रात को सुकून का वक़्त बनाया और सूरज और चाँद को हिसाब से रखा है, यह मुक़र्रर किया हुआ है बड़े ग़ल्बे वाले, बड़े इल्म वाले की तरफ़ से।
And it is He who placed for you the stars that you may be guided by them through the darknesses of the land and sea. We have detailed the signs for a people who know.
Aur woh aisay hai jiss ney sitaron ko peda kiya takay tum unn kay zariye say andheron mein khushki mein aur darya mein bhi raasta maloom ker sako. Be-shak hum ney dalaeel khoob khol khol ker biyan ker diye hain unn logon kay liye jo khabar rakhtay hain.
और वही है जिसने तुम्हारे लिए सितारे बनाए; ताकि तुम उनके ज़रिए से ख़ुश्की और तरी के अंधेरों में राह पाओ, बेशक हमने दलीलों को खोलकर बयान कर दिया है उन लोगों के लिए जो जानना चाहते हैं।
And it is He who produced you from one soul and [gave you] a place of dwelling and of storage. We have detailed the signs for a people who understand.
Aur woh aisa hai jiss ney tum ko aik shaks say peda kiya phir aik jagah ziyada rehney ki hai aur aik jagah chanday rehney ki be-shak hum ney dalaeel khoob khoob khol khol ker biyan ker diye unn logon kay liye jo samajh boojh rakhtay hain.
और वही है जिसने तुमको पैदा किया एक जान से फिर हर एक के लिए एक ठिकाना है और हर एक के लिए उसके सौंपे जाने की जगह है, हमने दलीलों को खोलकर बयान कर दिया है उन लोगों के लिए जो समझते हैं।
And it is He who sends down rain from the sky, and We produce thereby the growth of all things. We produce from it greenery from which We produce grains arranged in layers. And from the palm trees - of its emerging fruit are clusters hanging low. And [We produce] gardens of grapevines and olives and pomegranates, similar yet varied. Look at [each of] its fruit when it yields and [at] its ripening. Indeed in that are signs for a people who believe.
Aur woh aisa hai jiss ney aasman say pani barsaya phir hum ney uss kay zariye say her qisam kay nabaat ko nikala phir hum ney uss say sabz shaakh nikali kay uss say hum upper talay daaney charhay huye nikaltay hain aur khujoor kay darakhton say yani unn kay guphay mein say khoshay hain jo neechay ko latkay jatay hain aur angooron kay baagh aur zaitoon aur anaar kay baaz aik doosray say miltay jultay hotay hain aur kuch aik doosray say miltay jultay nahi hotay. Her aik kay phal ko dekho jab woh phalta hai aur iss kay pakney ko dekho iss mein dalaeel hain unn logon kay liye jo eman rakhtay hain.
और वही है जिसने आसमान से पानी बरसाया फिर हमने उससे निकाली उगने वाली हर चीज़ फिर हमने उससे सरसब्ज़ शाख़ निकाली जिससे हम तह-ब-तह दाने पैदा कर देते हैं, और खजूर के गाभे में से फल के गुच्छे झुके हुए और बाग़ अंगूर के और ज़ैतून के और अनार के आपस में मिलते-जुलते और जुदा-जुदा भी, हर एक फल को देखो जब वह फलता है और उसके पकने को देखो जब वह पकता है, बेशक इनके अंदर निशानियाँ हैं उन लोगों के लिए जो ईमान की तलब रखते हैं।