Unquestionably, [for] the allies of Allah there will be no fear concerning them, nor will they grieve
Yaad rakho kay Allah kay doston per na koi andesha hai aur na woh ghumgeen hotay hain.
सुन लो! अल्लाह के दोस्तों के लिए न कोई ख़ौफ़ होगा और न वे ग़मगीन होंगे।
And Allah is most knowing of your enemies; and sufficient is Allah as an ally, and sufficient is Allah as a helper.
Allah Taalaa tumharay dushmanon ko khoob jannay wala hai aur Allah Taalaa ka dost hona kafi hai aur Allah Taalaa ka madadgar hona bus hai.
अल्लाह तुम्हारे दुश्मनों को ख़ूब जानता है, और अल्लाह काफ़ी है हिमायत के लिए, और अल्लाह काफ़ी है मदद के लिए।
Indeed, they will never avail you against Allah at all. And indeed, the wrongdoers are allies of one another; but Allah is the protector of the righteous.
( Yad rakhen ) kay yeh log hergiz Allah kay samney aap kay kuch kaam nahi aasaktay. ( Samjh len kay ) zalim log aapas mein aik doosray kay rafiq hotay hain aur perhezgaron ka kaar saaz Allah Taalaa hai.
वे अल्लाह के मुक़ाबले में तुम्हारे कदापि कुछ काम नहीं आ सकते। निश्चय ही ज़ालिम लोग एक-दूसरे के साथी है और डर रखने वालों का साथी अल्लाह है
Your ally is none but Allah and [therefore] His Messenger and those who have believed - those who establish prayer and give zakah, and they bow [in worship].
( musalmano ) ! Tumhara dosat khud Allah hai aur uss ka rasool hai aur eman walay hain jo namazon ki pabandi kertay hain aur zakat ada kertay hain aur woh rukoo ( khushoo-o-khuzoo ) kerney walay hain.
तुम्हारे दोस्त तो बस अल्लाह और उसका रसूल और वे ईमान वाले हैं जो नमाज़ क़ायम करते हैं और ज़कात अदा करते हैं और वे (अल्लाह के आगे) झुकने वाले हैं।
Allah does not forbid you from those who do not fight you because of religion and do not expel you from your homes - from being righteous toward them and acting justly toward them. Indeed, Allah loves those who act justly.
Jin logon ney tum say deen kay baray mein laraee nahi lari aur tumhen jila watan nahi kiya unn kay sath salook-o-ehsan kerney aur munsifana bhalay bartao kerney say Allah Taalaa tumhen nahi rokta bulkay Allah Taalaa to insaf kerney walon say mohabbat kerta hai.
अल्लाह तुम्हें इस से नहीं रोकता कि तुम उन लोगों के साथ अच्छा व्यवहार करो और उन के साथ न्याय करो, जिन्होंने तुम से धर्म के मामले में युद्ध नहीं किया और न तुम्हें तुम्हारे अपने घरों से निकाला। निस्संदेह अल्लाह न्याय करने वालों को पसन्द करता है
If you two [wives] repent to Allah , [it is best], for your hearts have deviated. But if you cooperate against him - then indeed Allah is his protector, and Gabriel and the righteous of the believers and the angels, moreover, are [his] assistants.
( aey nabi ki dono biwiyo! ) agar tum dono Allah kay samney tauba kerlo ( to boht behtar hai ) yaqeenan tumharay dil jhuk paren hain aur agar tum nabi kay khilaf aik doosray ki madad kero gi pus yaqeenan uss ka kaar saaz Allah hai aur jibraeel hain aur nek ehal-e-eman aur inn kay ilawa farishtay bhi madad kerney walay hain.
यदि तुम दोनों अल्लाह की ओर रुजू हो तो तुम्हारे दिल तो झुक ही चुके हैं, किन्तु यदि तुम उस के विरुद्ध एक-दूसरे की सहायता करोगी तो अल्लाह उस का संरक्षक है, और जिबरील और नेक ईमान वाले भी, और इस के बाद फ़रिश्ते भी उस के सहायक हैं
Indeed, those who have believed and emigrated and fought with their wealth and lives in the cause of Allah and those who gave shelter and aided - they are allies of one another. But those who believed and did not emigrate - for you there is no guardianship of them until they emigrate. And if they seek help of you for the religion, then you must help, except against a people between yourselves and whom is a treaty. And Allah is Seeing of what you do.
Jo log eman laye aur hijrat ki aur apney maalon aur janon say Allah ki raah mein jihad kiya aur jin logon ney inn ko panah di aur madad ki yeh sab aapas mein aik doosray kay rafiq hain aur jo eman to layen hain lekin hijrat nahi ki tumharay liye inn ki kuch bhi rafaqat nahi jabtak kay woh hijrat na keren. Haan agar woh tum say deen kay baray mein madad talab keren to tum per madad kerna zaroori hai siwaye inn logon kay kay tum mein aur inn mein ehad-o-payman hai tum jo kuch ker rahey ho Allah khoob dekhta hai.
जो लोग ईमान लाए और जिन्होंने हिजरत की और अल्लाह की राह में अपने माल व जान से जिहाद किया और वे लोग जिन्होंने पनाह दी और मदद की, वे लोग आपस में एक-दूसरे के दोस्त हैं, और जो लोग ईमान लाए मगर उन्होंने हिजरत नहीं की तो उनसे तुम्हारा दोस्ती का कोई तअल्लुक़ नहीं जब तक कि वे हिजरत करके न आ जाएं, और वे तुमसे दीन के मामले में मदद माँगें तो तुम पर उनकी मदद करना वाजिब है सिवाए उसके कि यह मदद ऐसी क़ौम के ख़िलाफ़ हो जिसके साथ तुम्हारा मुआहिदा है, और जो कुछ तुम करते हो अल्लाह उसको देख रहा है।
The believing men and believing women are allies of one another. They enjoin what is right and forbid what is wrong and establish prayer and give zakah and obey Allah and His Messenger. Those - Allah will have mercy upon them. Indeed, Allah is Exalted in Might and Wise.
Momin mard-o-aurat aapas mein aik doosray kay ( madadgar-o-maavin aur ) dost hain woh bhalaiyon ka hukum detay hain aur buraiyon say roktay hain namazon ko pabandi say baja latay hain zakat ada kertay hain Allah ki aur uss kay rasool ki baat maantay hain yehi log hain jin per Allah Taalaa both jald reham faramaye ga be-shak Allah ghalbay wala hikmat wala hai.
और मोमिन मर्द और मोमिन औरतें एक-दूसरे के मददगार हैं, वे भलाई का हुक्म देते हैं और बुराई से रोकते हैं और नमाज़ क़ायम करते हैं और ज़कात अदा करते हैं और अल्लाह और उसके रसूल की इताअत करते हैं, यही लोग हैं जिन पर अल्लाह रहम करेगा, बेशक अल्लाह ज़बरदस्त है, हिकमत वाला है।