And they denied him, so We saved him and those with him in the ship and made them successors, and We drowned those who denied Our signs. Then see how was the end of those who were warned.
So woh log inn ko jhutlatay rahey pus hum ney inn ko aur jo inn kay sath kashti mein thay unn ko nijat di aur unn ko janasheen banaya aur jinhon ney humari aayaton ko jhutlaya tha unn ko gharq ker diya. So dekhna chahaiye kaisa anjam hua unn logon ka jo daraye jaa chukay thay.
फिर उन्होंने उसको झुठला दिया तो हमने नूह (अलै॰) को और जो लोग उसके साथ कश्ती में थे नजात दी और उनको जानशीन बनाया, और उन लोगों को डुबो दिया जिन्होंने हमारी निशानियों को झुठलाया था, देखिए कि क्या अंजाम हुआ उनका जिनको डराया गया था।
And construct the ship under Our observation and Our inspiration and do not address Me concerning those who have wronged; indeed, they are [to be] drowned."
Aur aik kashti humari aankhon kay samney aur humari wahee say tayyar ker aur zalimon kay baray mein hum say koi baat cheet na ker woh pani mein dobo diye janey walay hain.
और हमारे रूबरू और हमारे हुक्म से आप कश्ती बनाइए और ज़ालिमों के हक़ में मुझ से बात न कीजिए, बेशक ये लोग डूबने वाले हैं।
Those were the ones upon whom Allah bestowed favor from among the prophets of the descendants of Adam and of those We carried [in the ship] with Noah, and of the descendants of Abraham and Israel, and of those whom We guided and chose. When the verses of the Most Merciful were recited to them, they fell in prostration and weeping.
Yehi woh anbiya hain jin per Allah Taalaa ney fazal-o-karam kiya jo aulad-e-adam mein say hain aur unn logon ki nasal say hain jinhen hum ney nooh ( alh-e-salam ) kay sath kashti mein charha liya tha aur aulad ibrahim-o-yaqoob say aur humari taraf say raaha yafta aur humaray pasandeedah logon mein say. Inn kay samney jab Allah rehman ki aayaton ki tilawat ki jati thi yeh sajda kertay aur rotay girgiratay gir partay thay.
ये वे पैग़म्बर हैं जो अल्लाह के कृपापात्र हुए, आदम की सन्तान में से और उन लोगों के वंशज में से जिन को हम ने नूह के साथ सवार किया, और इबराहीम और इसराईल के वंशज में से और उन में से जिन को हम ने सीधा मार्ग दिखाया और चुन लिया। जब उन्हें रहमान की आयतें सुनाई जातीं तो वे सजदा करते और रोते हुए गिर पड़ते थे
So We inspired to him, "Construct the ship under Our observation, and Our inspiration, and when Our command comes and the oven overflows, put into the ship from each [creature] two mates and your family, except those for whom the decree [of destruction] has proceeded. And do not address Me concerning those who have wronged; indeed, they are to be drowned.
To hum ney unn ki taraf wahee bheji kay tu humari aankhon kay samney humari wahee kay mutabiq aik kashti bana. Jab humara hukum aajaye aur tanoor ubal paray to tu her qisam ka aik aik jora iss mein rakh ley aur apnay ehal ko bhi magar inn mein say jin ki babat humari baat pehaly guzar chuki hai. Khabardar jin logon ney zulm kiya hai unn kay baray mein mujh say kuch kalaam na kerna woh to sab doboye jayen gay.
तब हम ने उस की ओर प्रकाशना की कि "हमारी आँखों के सामने और हमारी प्रकाशना के अनुसार नौका बना और फिर जब हमारा आदेश आ जाए और तूफ़ान उमड़ पड़े तो प्रत्येक प्रजाति में से एक-एक जोड़ा उस में रख ले और अपने लोगों को भी, सिवाय उन के जिन के विरुद्ध पहले फ़ैसला हो चुका है। और अत्याचारियों के विषय में मुझ से बात न करना। वे तो डूबकर रहेंगे
So We saved him and those with him in the laden ship.
Chunacha hum ney ussay aur uss kay saathiyon ko bhari hui kashti mein ( sawar kera ker ) nijat dey di.
अतः हम ने उसे और जो उस के साथ भरी हुई नौका में थे बचा लिया
And a sign for them is that We carried their forefathers in a laden ship.
Aur inn kay liye aik nishani ( yeh bhi ) hai kay hum ney inn ki nasal ko bhari hui kashti mein sawar kiya.
और एक निशानी उन के लिए यह है कि हम ने उन के अनुवर्तियों को भरी हुई नौका में सवार किया
And We carried him on a [construction of] planks and nails,
Aur hum ney issay takhton aur keelon wali ( kashti ) per sawar kerliya
और हम ने उसे एक तख़्तों और कीलों वाली (नौका) पर सवार किया,
Indeed, when the water overflowed, We carried your ancestors in the sailing ship
jab pani mein tughyani agai to us waqat hum ney tumhein kashti mein charha liya
जब पानी उमड़ आया तो हम ने तुम्हें प्रवाहित नौका में सवार किया;
But they denied him, so We saved him and those who were with him in the ship. And We drowned those who denied Our signs. Indeed, they were a blind people.
So woh log unn ki takzeeb hi kertay rahey to hum ney nooh ( alh-e-salam ) ko aur unn ko jo unn kay sath kashti mein thay bacha liya aur jin logon ney humari aayaton ko jhutlaya tha unn ko hum ney gharq ker diya. Be-shal woh log andhay horahey thay.
पस उन्होंने उनको झुठला दिया, फिर हमने नूह को बचा लिया और उन लोगों को भी जो उसके साथ कश्ती में थे और हमने उन लोगों को डुबो दिया जिन्होंने हमारी निशानियों को झुठलाया था, बेशक वे लोग अंधे थे।